Wasi Shah Biography
Paidaish: January 21, 1973, Sargodha, Pakistan
Biwi ka naam: Zara Wasi
Taleem: Bachelor’s degree in Commerce (B.Com)
Wasi Shah Urdu adab mein ek numaya shakhsiyat hain jo apni rumanwi shayari ke liye mashhoor hain. Unhone na sirf shayar balki ek musannif, kolumn navees, drama navees aur kabhi kabhi TV anker ke tor par bhi shohrat hasil ki.
Aapki Shayari
Apne ehsaas se choo kar mujhe sandal kar do
Main ke sadiyon se adhoora hoon, mukammal kar do
Na tumhein hosh rahe aur na mujhe hosh rahe
Yaar is qadar toot ke chaho, mujhe pagal kar do
Tum hatheli ko mere pyaar ki mehndi se rango
Apni aankhon mein mere naam ka kajal kar do
Jaise sehraon mein har shaam hawa chalti hai
Is tarah mujh mein chalo aur mujhe khil kar do
Masla hoon to nigaahein na churao mujh se
Apni chahat se, tawajju se mujhe hal kar do
Us ke saaye mein mere khwab damak uthhenge
Mere chehre par chamakta hua aanchal kar do
Dhoop hi dhoop hoon main, toot ke barso mujh par
Is qadar barso ke meri rooh ko jal thal kar do
Poora parhne ke liye yahan click karein latest Poetry 2024