Mohsin Naqvi Romantic Poetry
Zikr Shab-e-Firaaq Se Wahshat Use Bhi Thi
Zikr shab-e-firaaq se wahshat use bhi thi
Meri tarah kisi se mohabbat use bhi thi
Mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki deed ka
Rasta badal ke chalne ki aadat use bhi thi
Us raat der tak woh raha mahw-e-guftagu
Masroof main bhi kam tha, faraagat use bhi thi
Mujh se bichhad ke shehar mein ghul mil gaya woh shakhs
Halaanke shehar bhar se adaawat use bhi thi
Woh mujh se barh ke zabt ka aadi tha jee gaya
Dar nah har ek saans qayaamat, use bhi thi
Sunta tha woh bhi sab se puraani kahaniyan
Shayad rafaakton ki zaroorat use bhi thi
Tanha hua safar mein to mujh pe khula yeh bhed
Saaye se pyaar dhoop se nafrat use bhi thi
Mohsin main us se keh na saka yun bhi haal-e-dil
Dar paish ek taza museebat use bhi thi
Mohsin Naqvi Aapki Shayari
Bichhad Ke Mujh Se Kabhi Tune Yeh Bhi Socha Hai
Bichhad ke mujh se kabhi tune yeh bhi socha hai
Adhoora chaand bhi kitna udaas lagta hai
Yeh khatm-e-wasl ka lamha hai, raai gaan na samajh
Ke is ke baad wohi dooriyon ka sehra hai
Kuch aur der na jhadna udaasiyon ke shajar ke
Khabar tere saaye mein kaun baitha hai?
Yeh rakh rakhaao mohabbat sikha gayi us ko
Woh rooth kar bhi mujhe muskara ke milta hai
Main kis tarah tujhe dekhoon, nazar jhijhakti hai
Tera badan hai ke yeh aainon ka darya hai?
Kuch is qadar bhi to aasan nahi hai ishq tera
Zeher dil mein utar kar hi raas aata hai
Main tujh ko paa ke bhi khoya hua sa rehta hoon
Kabhi kabhi to mujhe tune theek samjha hai
Mujhe khabar hai ke kya hai judaaiyon ka azaab
Ke main ne shaakh se gul ko bichhadte dekha hai
Main muskara bhi pada hoon to kyun khafa hain log
Ke phool tooti hui qabr par bhi khilta hai
Use gawa ke main zinda hoon is tarah Mohsin
Ke jaise tez hawa mein charagh jalta hai
Mohsin Naqvi Aapki Shayari
Yeh Dil, Yeh Paagal Dil Mera
Yeh dil, yeh paagal dil mera, kyun bujh gaya aawargi
Is dasht mein ek shehar tha woh kya hua aawargi
Kal shaam mujhe be shakl ki awaaz ne chonka diya
Main ne kaha tu kaun hai, us ne kaha aawargi
Logon bhala is shehar mein kaise jiyeinge hum
Jahaan ke hum jahaan ho jurm tanha sochna lekin saza aawargi
Yeh dard ki tanhaiyan, yeh dasht ka weeraan safar
Hum log to ukta gaye apni suna aawargi
Ek ajnabi jhonke ne jab poocha mere gham ka sabab
Sehra ki bheegi rait par main ne likha aawargi
Is simt wahshi khwahishon ki zad mein paiman-e-wafa
Is simt lehron ki dhamak, kacha ghada, aawargi
Kal raat tanha chaand ko dekha tha main ne khwab mein
Mohsin mujhe raas aaye gi shayad sada aawargi
Aapki Shayari
Mohsin Naqvi Biography