Sahir Ludhianvi Famous Ghazal
Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum
Thukra na dein jahan ko kahin be-dili se hum
Mayusi maal-e-mohabbat, neem poochhiye
Apno se pesh aaye hain begaanagi se hum
Lo aaj hum ne toad diya rishta-e-umeed
Lo ab kabhi gila na karenge kisi se hum
Ubhrenge ek baar abhi dil ke walwale
Go dab gaye hain baar-e-gham-e-zindagi se hum
Gar zindagi mein mil gaye phir ittefaq se
Poochenge apna haal teri be-basi se hum
Famous Ghazal
Allah re fareb-e-masheeat ke aaj tak
Duniya ke zulm sahte rahe khamoshi se hum
Milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi
Hoti hai dilbaron ki inayat kabhi kabhi
Sharma ke munh na pher nazeer ke sawal par
Laati hai aise mod pe kismat kabhi kabhi
Khulte nahi hain roz dar bachche bahaar ke
Aati hai jaan-e-man yeh qayamat kabhi kabhi
Tanha na kat sakeinge jawani ke raste
Pesh aaye gi kisi ki zaroorat kabhi kabhi
Phir kho na jayein hum kahin duniya ki bheed mein
Milti hai paas aane ki mohabbat kabhi kabhi
Aapki Shayari
Ahl-e-dil aur bhi hain ahl-e-wafa aur bhi hain
Ek hum hi nahi duniya se khafa aur bhi hain
Hum par hi khatam nahi maslak-e-shoreeda sari
Chaak dil aur bhi hain chaak qaba aur bhi hain
Kya hua gar mere yaaron ki zubanein chup hain
Mere shahid mere yaaron ke siwa aur bhi hain
Sar salamat hai to kya sang-e-malamat ki kami
Jaan baaqi hai to paikan-e-fiza aur bhi hain
Munsif-e-sheher ki wahdat pe na harf aa jaye
Log kehte hain ke arbaab-e-jafa aur bhi hain
Sahir Ludhianvi Biography
1 thought on “Sahir Ludhianvi Famous Ghazal in Urdu 2024”