Sahir Ludhianvi Love Poetry
Tum apna ranj-o-gham, apni pareshani mujhe de do
Tumhe gham ki kasam, is dil ki veerani mujhe de do
Yeh maana main kisi qabil nahin hoon in nigahon mein
Bura kya hai agar yeh dukh, yeh hairani mujhe de do
Main dekhun to sahi, duniya tumhe kaise satati hai
Koi din ke liye apni nigehbani mujhe de do
Woh dil jo maine manga tha magar gheron ne paaya hai
Bari shay hai agar us ki pashemani mujhe de do
Sahir Ludhianvi Love Poetry
Is taraf se guzre the qafle baharon ke
Aaj tak sulagte hain zakhm rah guzaroon ke
Halwatoon ke sheedaai khalwatoon mein ghulte hain
Hum se poochh kar dekho, raaz parda daroon ke
Gesooon ki chhaon mein, dil nawaz chehre hain
Ya haseen dhundhlakon mein, phool hain baharon ke
Pehle nahin ke milte hain, phir nazar churate hain
Aashna sifat hain log, ajnabi diaron ke
Tum ne sirf chaaha hai hum ne choo ke dekhe hain
Pehrahan ghataoon ke jism barq paroon ke
Fael may parasti go, jashn naamuradi tha
Yoon bhi katt gaye kuchh din tere sogwaroon ke
Sahir Ludhianvi Love Poetry
Barbad mohabbat ki dua saath liye ja
Toota hua iqrar-e-wafa saath liye ja
Ek dil tha jo pehle hi tujhe sonp diya tha
Yeh jaan bhi ae jaan-e-ada saath liye ja
Tapti hui raahon se tujhe aanch na na poche
Diwanon ke ashkon ki ghata saath liye ja
Shamil hai mera khoon-e-jigar teri hina mein
Yeh kam ho to ab khoon-e-wafa saath liye ja
Hum jurm-e-mohabbat ki saza paayenge tanha
Jo tujh se hui ho woh khata saath liye ja
Sahir Ludhianvi Love Poetry
Milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi
Hoti hai dilbaron ki inayat kabhi kabhi
Sharma ke munh na pher nazar ke sawal par
Lati hai aise mor pe qismat kabhi kabhi
Khilte nahin hain roz dar bachay bahar ke
Aati hai jaan-e-man yeh qayamat kabhi kabhi
Tanha na katt sakeinge jawani ke raaste
Pesh aayegi kisi ki zaroorat kabhi kabhi
Sahir Ludhianv Love Poetry
Phir kho na jaayein hum kahin duniya ki bheed mein
Hai paas aane ki mohabbat kabhi kabhi milti
Sahir Ludhianvi Biography