Majeed Amjad Sadness Poetry
Rosh rosh pe hain nighat fishaan gulaab ke phool
Haseen gulaab ke phool, arghawaan gulaab ke phool
Jahaan giriya-e-shabnam se, kis ghuroor ke saath
Guzar rahe hain, tabassum kanaan, gulaab ke phool
Yeh mera daaman-e-sad chaak, yeh rida-e-bahaar
Yahan sharaab ke chhente, wahan gulaab ke phool
Khayaal-e-yaar, tere silsile nashon ki ratein
Jamaal-e-yaar, teri jhalakiyan, gulaab ke phool
Sadness Poetry
Meri nigaah mein dor zamaana ki har karwat
Aho ki lehr, dilon ka dhuaan gulaab ke phool
Sulagte jaate hain chup chaap hanste jaate hain
Misaal chehra-e-paighambaraan, gulaab ke phool
Yeh kya tilism hai, yeh kis ki yasmeen bahein
Chhidak gayi hain jahaan dar jahaan gulaab ke phool
Kayi hai umra bahaaron ke sog mein Amjad
Meri lahd pe khilen jawidaan gulaab ke phool
Meer Taqi Meer Romantic Poetry
Dekho to dil ke jaan se uthta hai
Yeh dhuaan sa kahaan se uthta hai
Gor kisi dil jale ki hai yeh falak
Shola ek subah yahan se uthta hai
Baithne kaun de hai phir is ko
Jo tere aastaan se uthta hai
Yun uthe aah! is gali se hum
Jaise koi jahaan se uthta hai
Ishq ek Meer bhaari patthar hai
Kab yeh tujh naatawaan se uthta hai
Sadness Poetry
Munir Niazi Sadness Poetry
Meri saari zindagi ko be samar us ne kiya
Umar meri thi magar is ko basar us ne kiya
Main bohot kamzor tha is mulk mein hijrat ke baad
Par mujhe is mulk mein kamzor tar us ne kiya
Raahbar mera bana gumrah karne ke liye
Mujh ko seedhe raste se dar badar us ne kiya
Shehar mein woh mu'tabar meri gawahi se hua
Phir mujhe is shehar mein naamutar us ne kiya
Shehar ko barbaad kar ke rakh diya us ne Munir
Shehar par yeh zulm mere naam par us ne kiya
Munir Niazi love Poetry
Chaman mein rang bahar utra to maine dekha
Nazar se dil ka ghubar utra to maine dekha
Main neem shab aasmaan ki wusat ko dekhta tha
Zameen pe woh husn zaar utra to maine dekha
Gali ke bahar tamaam manzar badal gaye the
Jo saaya koo-e-yaar utra to maine dekha
Khumar se main woh chehra kuch aur lag raha tha
Dam-e-sehar jab khumar utra to maine dekha
Ek aur dariya ka saamna tha Munir mujh ko
Main ek dariya ke paar utra to maine dekha
Qamar Raza Shahzad Sad Poetry
Tujhe kho kar kisi se pyar hona chahiye tha
Humein itna to duniya daar hona chahiye tha
Abhi tak khul nahi paaya ke teri daastaan mein
Hamari kaun sa kirdar hona chahiye tha
Kisi ke faisle ko mustarad karne se pehle
Humein bhi ghair janibdaar hona chahiye tha
Kahan tak is kinare par rahenge hum ke ab to
Yeh dariya bhi kahin se paar hona chahiye tha
Badalni chahiye thi khaak ki taseer Shehzad
Hamare khoon ko talwaar hona chahiye tha
Qateel Shifai Sadness Poetry
Pareshan raat saari hai sitaro tum to so jao
Sukoot-e-marg taari hai sitaro tum to so jao
Hanso aur hanste hanste doobte jao khalaon mein
Humein par raat bhaari hai sitaro tum to so jao
Humein to aaj ki shab po phate tak jaagna hoga
Yahi qismat hamari hai sitaro tum to so jao
Tumhein kya aaj bhi koi agar milne nahi aaya
Yeh baazi hum ne haari hai sitaro tum to so jao
Kahe jaate ho ro ro kar hamara haal duniya se
Yeh kaisi raazdaari hai sitaro tum to so jao
Humein bhi neend aa jaayegi hum bhi so hi jaayenge
Abhi kuch beqaraari hai sitaro tum to so jao
Fatima Hasan Poem
Urdte hue parind ki tasveer dekh kar
Dekha hai main ne khwab yeh taabeer dekh kar
Gar khauf bhi nahi hai to kyun ruk gaye hain log
Aaye the jo khuli hui zanjeer dekh kar
Ab ghul gaya lahoo mein to anjaam kuch bhi ho
Kya mil sakega zehar ki taseer dekh kar
Mere siwa bhi us ko kayi kaam hain yahan
Samjhi magar yeh baat main taakhir dekh kar
Bain al-sutoor us ne na jaane padha hai kya
Khamosh ho gaya meri tehreer dekh kar