Pyar ke deep jalane wale kuch kuch pagal hote hain
Apni jaan se jaane wale kuch kuch pagal hote hain
Hijr ke gehre zakham mile to mujh ko yeh ehsaas hua
Pagal ko samjhane wale kuch kuch pagal hote hain
Jaan se pyare logon se bhi kuch kuch parde laazim hai
Saari baat batane wale kuch kuch pagal hote hain
Khawabon mein bhi piaman ke seene dekhte rehte hain
Dekhne rehte hain neendon mein muskane wale kuch kuch pagal hote hain
Is jhooti nagri mein hum ne yahi hamesha dekha hai
Kachi baat batane wale kuch kuch pagal hote hain
Pyar jinhein ho jaye unko chain bhala kab mil pata hai?
Shab bhar ashk bahane wale kuch kuch pagal hote hain
Apni zaat ke ujrhe gulshan se woh pyar kahan karte hain?
Aurun ko mehkane wale kuch kuch pagal hote hain
Us ke ishq mein bheeg ke Wasiq hum ko yeh ehsaas hua
Dil ki baat mein aane wale kuch kuch pagal hote hain
Bhar mein khoon rulate ho, kahan hote ho?
Loot kar kyun nahi aate ho, kahan hote ho?
Jab bhi milta hai koi shakhs baharon jaisa
Mujh ko tum kaise bhulate ho, kahan hote ho?
Yaad aati hain akele mein tumhari neenden
Kis tarah khud ko sulate ho, kahan hote ho?
Mujh se bichhde ho to mehboob nazar ho kis ke
Aaj kal kis ko manate ho, kahan hote ho?
Shab ki tanhaai mein aksar yeh khayal aata hai
Apne dukh kis ko sunate ho, kahan hote ho?
Mausam-e-gul mein nasha-e-hijr ka barh jata hai
Mere sab hosh churate ho, kahan hote ho?
Sard raaton mein tumhein kaise bhula sakta hoon?
Aag si dil mein lagate ho, kahan hote ho?
Hum to khushiyon ki rafiqat ke liye bichhde the
Ab agar ashk bahate ho, kahan hote ho?
Sheher ke log bhi Wasiq yahi karte hain sawaal
Ab bohot kam nazar aate ho, kahan hote ho?
Duniya se mujhe pyar tha, sab bhool chuka hoon
Ek shakhs mera yaar tha, sab bhool chuka hoon
Woh hijr ki raatein ke sulagte hue lamhe!
Aankhon pe koi baar tha, sab bhool chuka hoon
Haan! Meri khata thi ke tujhe toot ke chaaha
Haan! Main hi gunahgaar tha, sab bhool chuka hoon
Yeh kis ne mujhe dhoop ka ek roop diya hai?
Main saaya-e-deewar tha, sab bhool chuka hoon
Ab gham mujhe deemak ki tarah chaat rahe hain
Main khushiyon se sarsar tha, sab bhool chuka hoon
Bheja tha tujhe kabhi choori, kabhi kangan
Main kitna khanakdaar tha, sab bhool chuka hoon
Bakhshi hai mujhe pyar ke badle mein judaai
Jo bhi tera kirdaar tha, sab bhool chuka hoon
Khushboo bhare romaale kahan yaad hain mujh ko?
Tu kitna wazadhaar tha? Sab bhool chuka hoon
Aankhein shab-e-furqat mein raha karti thin pur nam
Main tera talibgar tha, sab bhool chuka hoon
Bas itna mujhe yaad hai ek wasl ki shab thi
Iqraar tha, inkaar tha, sab bhool chuka hoon
Sach maan ke ab kuch bhi mujhe yaad nahi hai
Tu kis ka tarafdaar tha? Sab bhool chuka hoon
Ek shakhs ne pagal sa bana rakha hai Wasiq
Main kitna samajhdar tha? Sab bhool chuka hoon
3 thoughts on “Sad poetry Urdu 2 lines 2024”