Rehana Qamar Biography latest Poetry in Urdu 2024

Rehana Qamar Biography

Rehana Qamar Biography

Date of Birth: 1962

Place of Birth: Toba Tek Singh, Pakistan.

Current Residence: Los Angeles, USA.

Profession: Writer, Poetess, Businesswoman

  • Role: Chairperson at Anjuman Tarqi-e-Urdu, North America
  • Rehana Qamar ek mashhoor shaira aur musannifa hain, jo Urdu adab mein apni qadr-e-qabil tasaneef ke liye bohot ma’roof hain. Unhon ne mohabbat, judai, aur samaji masail par mabni kai shayari ki kitaabein shaya ki hain. Woh Anjuman Tarqi-e-Urdu, North America ki chairperson bhi hain aur Pakistan aur USA mein apne adabi kaam ke liye kai inaamaat hasil kar chuki hain.

Ahem Tasaneef

Soch Ki Dehleez Par

Magar Tum Apna Kheyal Rakhna

Hum Phir Na Milein Shayed

Tum Ho To Mein Bhi Hun

Mar Key Bhi Tumharey Hein

Kash Tum Sey Koi Bewafai Karey

Aapki Shayari
Roothay hue ko ghar se bulane nahi gayi
Ji chahta tha phir bhi manane nahi gayi

Kis simt ki hawa thi kidhar par rahe the peech
Chhat par bhi patang urane nahi gayi

Duniya yeh keh rahi thi woh tujh ko bulaaye ga
Roti magar kisi ko batane nahi gayi

Jo kuch mere khilaf tha barish ne dho diya
Deewar ko main aap mitane nahi gayi

Is sheher ne bhi mujh ko faramosh kar diya
Main bhi kisi ko yaad dilane nahi gayi

Ham-dard ban ke mujh ko bulaata raha woh shakhs
Lekin main us ko haal sunane nahi gayi

Poora parhne ke liye yahan click karein