Baja ke aankh mein neendon ke silsile bhi nahin
Shikast khwab ke ab mujh mein hausle bhi nahin
Nahin nahin! yeh khabar dushmanon ne di hogi
woh aaye, aa ke chale bhi gaye, mile bhi nahin
Yeh kaun log andheron ki baat karte hain
Uthi to chaand teri yaad ke dhale bhi nahin
Abhi se mere rafoo-gar ke haath thakne lage
Abhi to chaak mere zakhm ke sule bhi nahin
Khafa agar che hamesha hue magar ab ke
Woh barhami hai ke hum se unhein gile bhi nahin
Aapki Shayari
woh to khushboo hai hawaon mein bikhar jayega
masla phool ka hai phool kidhar jayega
Hum to samjhe the ke ik zakhm hai bhar jayega
Kya khabar thi ke rag-e-jaan mein utar jayega
Woh hawaon ki tarah khaana bajaan phirta hai
Ik jhonka hai jo aaye ga guzar jayega
Woh jab aaye ga to phir uski rafaakat ke liye
Mausam-e-gul mere aangan mein thehar jayega
Aakhirash woh bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera yeh pyar bhi dariya hai utar jayega
Mujh ko tehzeeb ke barzakh ka banaya waaris
Jurm yeh bhi mere ajdaad ke sar jayega
Parveen Shakir Poetry
Khushboo bhi uski tarz-e-pazeerai par gayi
Dheere se mere haath ko choo kar guzar gayi
Aandhi ki zad mein aaye hue phool ki tarah
Main tukde tukde ho ke faza mein bikhar gayi
Shaakhon ne phool pehne the kuch der qabl hi
Kya ho gaya, qabaa-e-shajar kyun utar gayi
On ungliyon ka lams tha aur meri zulf thi
Gesoo bikhar rahe the to qismat sanwar gayi
Utre na mere ghar mein woh mahtaab rang log
Meri duaa-e-neem shabi be-asar gayi
Parveen Shakir Shayari
Kamal-e-zabt ko khud bhi to aazmaoon gi
Main apne haath se uski dulhan sajaoon gi
Supurd kar ke use chaandni ke haathon mein
Main apne ghar ke andheron ko laut aoon gi
Badan ke karb ko woh bhi samajh na paaye ga
Main dil mein rooon gi, aankhon mein muskaraoon gi
Woh kya gaya ke rafaakat ke saare lutf gaye
Main kis se rooth sakoon gi, kise manaoon gi
Parveen shakir Biography
Ab uska fun to kisi aur se hua mansub
Main kis ki nazm akele mein gungnaoon gi
Bicha diya tha gulaabon ke saath apna wujood
Woh so ke uthe to khwaabon ki raakh uthaoon gi
Samaaton mein ghane jangalon ki saansein hain
Main ab kabhi teri awaaz sun na paoon gi
Jawaaz dhoond raha tha nayi mohabbat ka
Woh keh raha tha ke main usko bhool jaoon gi
Gil ko ashkon ki rawani se nikala jaaye
Doobte shakhs ko paani se nikala jaaye
Be-lagaami hi to hoti hai jawani ki lagaam
Isko kis tarah jawani se nikala jaaye
Do hi kirdar kahani mein hain dono mutazaad
Kyun na dono ko kahani se nikala jaaye
Parveen Shakir Biography