Noshi Gilani Biography
Walid ka Naam: Syed Nazar Muhammad Gilani
Paidaish: 14 March 1964, Bahawalpur, Pakistan
Shohar ka Naam: Saqi Farooqi
Noshi Gilani Sydney, Australia mein reh rahi hain aur Urdu shayari aur adab ko farog dene mein masroof hain. Unhon ne 2009 mein Urdu Academy of-
Australia co-found ki thi, jo Sydney mein mahana ijlasat mun’aqid karti hai taake Urdu shayari aur adab ko farog mil sake. Noshi likhna jaari rakhti hain aur Australia aur duniya bhar mein mukhtalif adabi events mein hissa leti hain.
Taleem:
- M.A. Urdu Literature
Aapki Shayari
Hijr ki shab mein qaid kare ya wisal mein rakhe
Acha Moula! Teri marzi tu jis haal mein rakhe
Khel yeh kaisa khel rahi hai dil se teri mohabbat
Ek pal ki sarshari de aur dino malal mein rakhe
Main ne saari khushboo'en aanchal se baandh ke rakhi
Shaayad inka zikar tu apne kisi sawal mein rakhe
Aapki Shayari
Kisi se tere aane ki sargoshi ko suntay hi
Ki ko hain main ne kitne phool chune aur apni shaal mein rakhe
Mushkil ban kar toot pari hai dil par yeh tanhaai
Ab jaane yeh kab tak isko apne jaal mein rakhe
Apne khilaaf sheher ke andhay hujoom mein
Dil ko bohot malal tujhe dekh kar hua
Aapki Shayari
Tool-e-shab-e-firaaq teri khair ho ke dil
Aamada-e-wisal tujhe dekh kar hua
Yeh hum hi jaante hain judaai ke mor par
Is dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua
Aayi na thi kabhi mere lafzon mein roshni
Aur mujh se yeh kamaal tujhe dekh kar hua
Noshi Gilani Poetry 2 Lines in Urdu
Bichhde to jaise zehan mo'attal sa ho gaya
Sheher nahun bahaal tujhe dekh kar hua
Phir log aa gaye mera maazi kureed ne
Phir mujh se ek sawal tujhe dekh kar hua
Pura padhne ke liye yaha click kare