Nadeem Anjum Famous Poetry
Famous Poetry Aapki Shayari
Jab se tere hue
Khila ishq sehra mein ek aur phool
Na jaane hui kis haseena se bhool
Woh aayi to phir yeh jawani mili
Meri zindagi ko kahani mili
Din zinda, shaam suhaani mili
Yeh ilm ko bhi mere rawani mili
Mile ho to phir chhod jaana nahin
Jo bichhdo to phir bhi bhulana nahin
Main kehta hoon mere nahi
Dil mein chor bata tu agar tere dil mein hai aur
Yeh na ho ke hum bhi yeh kehne lagein
Thapeyron par waqton ke bane lagein
Yeh dukh dard gham saare apne hue
Jo bhi dil ne socha woh sapne hue
Woh mil kar bhi mujh se na mere hue
Thikane lage jab se tere hue
Famous Poetry Aapki Shayari
Teri anaaon pe aata hai harf aane do
Magar aye dil! Use rooth kar na jaane do
Mere muqaddar ki yeh raat kitni kaali hai
Baal hatao tum zara roshni to aane do
Mera dil teri baat kabhi na maane ga
Ishq ki raah mein ise khud ko aazmane do
Purani yaadein ik baar karo phir taaza
Apne seene mein phir mujh ko sar chhupane do
Yeh ab tum kis liye mujhe baar baar milte ho
Mere man ko gham se daaman na chhudane do
Un bose mein shiddat to ab zyada hai
Mujhe tum pehle se lamhe woh purane do
Abhi jagao na wapas neend se mujh ko
Kuch aur der abhi dil mujhe behlane do
Famous Poetry Aapki Shayari
Mere wujood pe tera wujood taari hai
Mere junoon ka yeh silsila bhi jaari hai
Mere badan pe mazboot ana ka khol
Meri tere tasawwur ki lekin zarb hi kaari hai
Meri khwahish hain samandar aur haseen bohot
Teri tamanna meri har khushi pe bhaari hai
Har raat meri tere naam mansub magar
Har raat meri phir bhi kyun kunwari hai
Ab tanhai se dil is liye ghabrata nahi
Is mein lamha nahi zindagi guzaari hai
Teri jafaon ka mujh par yeh ehsaan raha
Meri wafaon ki un ne shakal nikhaari hai
Jaise chahta hai woh mujhe nachata hai
Mujhe gumaan hai ke woh koi madari hai
Famous Poetry Aapki Shayari
Jo jawani mujhe umr bhar sataati rahi
Woh uski sohbat se ek raat hi mein jaati rahi
Main to samjha tha khud ko ek samandar
Par woh us samandar ko saanson se garmati rahi
Yeh haal tha woh uski ba-hijaabi ka
Wisal ke baad bhi parde mein sharmaati rahi
Magar jab chhod kar gayi woh yaad tab aaya
Woh saari zist kis khoobi se behlaati rahi
Aur yeh baat bhi dil mera na samajh paaya
Woh milti aur mil kar pyaas barhati rahi
Famous Poetry Aapki Shayari
Apni aankhon ko mere liye jaam bana
Chhoo le honton se jism ko gulfaam bana
Tujhe chaaha to zeest ka aaghaaz hua
Mera ho kar tu zindagi tamaam bana
Gham ki dhoop mein mere liye jaan-e-ghazal
Ghane zulfon ki mehki hui shaam bana
Saari zindagi yeh dil tera aseer rahe
Marmareen baanhon se ik haseen daam bana
Sadiyon lambi ho har raat teri qurbat ki
Mere Maalik tu sadiyon ko ayaam bana
Apni shayari mein unka zikr kar
Magar mat naam apna duniya mein badnaam bana
Apni soch ko Anjum tu hijaab mein rakh
Apni ghazlon ko logon mein paighaam bana
Famous Poetry Aapki Shayari
Tum jo chaho mujhe saza de do
Magar izhaar bar-mala de do
Chahe sukh rakh lo apne paas tamaam
Aur mujhe apni Karbala de do
Baaz dete hain log duayein mujhe
Tum koi apni bad-dua de do
Main to doonga hi wafaayein tumhein
Tum nishani koi jafa de do
Hai koi zinda teri tamanna mein
Apne dil mein mujhe jagah de do
Famous Poetry Aapki Shayari
Jab mohabbat ka bukhaar hua karta hai gazal
Us shakhs se bada pyaar hua karta hai
Ladakpan to bas is qism ka hi hai
Jin dinon har koi dildaar hua karta hai
Har koi jaane hai is pur khatar raste ko
Phir bhi chalne ko tayyar hua karta hai
Magar woh shakhs jo qurbat ko tarasta tha
Woh to ab mae se hi bezaar hua karta hai
Pehle pehal to ishq mein aati nahi neendein
Rafta rafta dil bhi beemar hua karta hai
Famous Poetry Aapki Shayari
Jab bhi paas us ke jaata hoon gazal
Ajab be-khudi si paata hoon
Apne bikhre hue wujood ko
Main uski chahat se sajata hoon
Us se ik pal ki doori mein
Apne aap ko jalata hoon
Kahin na chhod kar chali jaana
Yahi main yaad use dilata hoon
Main Nadeem itna to haseen nahi
Magar main usko bohot bhata hoon
Nadeem Anjum Biography
2 thoughts on “Nadeem Anjum Famous Poetry Jab se tere Hue in Urdu 2024”