Nadeem Anjum Famous Aapki Shayari
Mujhe yeh kehna hai Maalik-e-Aflaaki se
Khuda ho gaye aadmi bhi khaaki se
Famous Aapki Shayari
Gar yaad karo to mujh se milne aana kabhi
Nahi aana to phir dil ko hi behlana kabhi
Dariye maazi ke apne band nahi karna
Mil hi jata hai koi aashna purana kabhi
Abhi tak yaad hain woh lamhe teri qurbat ke
Chhuda kar baanhon se aankhon ko jhukana kabhi
Nahi socha tha yeh morh aayega ulfat mein
Unhi ki khaatir pada un ko chhod jana kabhi
Abhi to jalta hai dil hi faqat raaton mein
Apne haathon se bhi khud ko hai jalana kabhi
Famous Aapki Shayari
Woh mera na sahi kisi aur ka to ho hi gaya
Woh to kehta tha ulfat mujhe kisi se nahi
Gheera baanhon ka ya phir koi sharaab mile
Nahi milna to phir tera koi jawaab mile
Main saari zindagi har ek jurm karta rahoon
Aur un ke badle mein bas mujhe sawaab mile
Use to milte rahen ba-wafa log magar
Mere Khuda mujhe har banda kharaab mile
Wisaal-e-yaar bhi Anjum kuch aise hota hai
Kisi pyaase ko jaise koi saraab mile
Yun milein mujhe kaante wafa ke raste mein
Jaise haathon se un ke koi gulaab mile
Unhein koi baazt mile aisi meri hasti mein
Kahin woh sab se mujhe Anjum hi nayaab mile
Famous Aapki Shayari
Kaun kehta hai yeh be-zubaan hota hai
Dil ka dard to dil se bayaan hota hai
Un ke waade pe main is liye khush hota hoon
Un ke jhoot par sach ka gumaan hota hai
Ishq ki duniya bhi kitni ajeeb duniya hai
Umar dhalti hai aur dil jawaan hota hai
Mile woh na mile lekin hai to apni hi
Wafadaroon ka us pe imaan hota hai
Manzil-e-ishq ko jo paa kar bhi bichhad jaayein
Un ka rutba bohot aali shaan hota hai
Famous Aapki Shayari
Sapeed kar ke Rab ne bhej diya Africa mein
Kaash mujhe bhi siyaah hi bana deta woh
Chhoo kar tujhe hawa bhi bebaak ho gayi
Aur dekhne se tere kali chaak ho gayi
Tujh se hi veeraan hue raat din mere
Tere peeche hasti meri khaak ho gayi
Gar hum ne pi sharaab to yeh keh diya najis
Aur tu ne pakda jaam to yeh paak ho gayi
Auron ko us ka lams mila muft mein Nadeem
Jab dil ne chaaha keemat un ki laakh ho gayi
Mere liye to Anjum woh masoom bohot thi
Ab mil kar duniya walon se chaalaak ho gayi
Famous Aapki Shayari
Sard raaton mein jab har taraf dhund chhaayi ho
Saath ho koi magar yaad uski aayi ho
Mausam ka yeh haal, koi paas guzar jaaye
Dil ke koi nahi shayad koi parchhaayi ho
Jis ki aag ko bujhata hoon sard raaton mein
Woh mujhe hi kahe tum bade harjaayi ho
Un wafaaon se to khud ko aazmata hoon
Tum bhala kis liye is qadar utaraayi ho
Yeh zamaana bhi kab humein achha samajhta hai
Phir bhi yun khaamosh hain shayad is mein koi badaayi ho
Famous Aapki Shayari
Para hoon sahil pe geeli rait ki maanind
Hawa aur sooraj ki dushmani ko paale hue
Famous Aapki Shayari
Tum hi ho
Tumhein dekha hai... ab se
Tumhein jaana hai... Rab se
Tumhein chaaha hai... dil ne
Tum... se aaya hoon... milne
Mujhe pyaar hai... kab se
Mera wujood hai... jab se
Mera wujood hai... tab se
Tu bana hai... jab se
Yeh kya ho gaya hai
Mera dil kho gaya hai
Main tera ho gaya hoon
Tu mera ho gaya hai
Aaina dekhta hoon uski soorat yaad aati hai
Aaina dekhta rehta hoon usko yaad kar ke main
Mohabbat
Mohabbat mein ek aisa andha hoon
Jise
Aankhon ke hote hue bhi
Us ke lams ke siwa kuch
Nahi bhata
Famous Aapki Shayari
Sheikh o Abid o Mulla se ikhtilaaf kare
Kabhi ishq Ana al-Haq ka aitiraaf kare
Phir shab-e-gham taweel hone lagi
Koi gehri si jheel hone lagi
Us ke lamhe kaun bayaan kare
Aap apni daleel hone lagi
Zindagi kis bala ka naam hai
Barhte barhte qaleel hone lagi
Bohat roka par wafa na ruki
Us ke kooche zaleel hone lagi
Jab kabhi socha bharte zakhmon ka
Wohi hasti kafeel hone lagi
Waqt-e-marg woh milne jo aaye
Saansein rukti taweel hone lagi
Be Basi
Teri yeh jaadugari meri samajh mein nahi aati
Ke jab tum mujh se door
Chali jaati ho
To main
Tere paas hota hoon
Nadeem Anjum Biography
2 thoughts on “Nadeem Anjum Famous Aapki Shayari Tum hi ho in Urdu 2024”