Farhat Abbas Shah Poetry 2 lines
Tu Ne Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Shaam Ke Baad
Tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad
Kitne chup chaap se lagte hain shajar shaam ke baad
Itne chup chaap ke raste bhi rahenge laa ilm
Chhod jaayenge kisi roz nagar shaam ke baad
Main ne aise hi gunaah teri judai mein kiye
Jaise toofaan mein koi chhod de ghar shaam ke baad
Shaam se pehle woh mast apni uranon mein raha
Jis ke haathon mein the toote hue par shaam ke baad
Raat beeti to gaye aable aur phir socha
Kaun tha baais-e-aaghaz-e-safar shaam ke baad
Tu hai sooraj, tujhe maloom kahan raat ka dukh
Tu kisi roz mere ghar mein utar shaam ke baad
Loot aaye na kisi roz woh awaara mizaaj
Khol rakhte hain isi aas pe dar shaam ke baad
Woh Kehti Hai Sitare Aansuon Mein Kyun Chamakte Hain
Woh kehti hai sitare aansuon mein kyun chamakte hain
Main kehta hoon mohabbat aansuon mein rang bharti hai
Woh kehti hai tumhare baad barish kyun nahi hoti
Main kehta hoon meri jaan hijr sahranon mein rehta hai
Woh boli nain kuch kehte hue aksar jhijhakate hain
Main bola dil mein baithe chor ko rasta nahi milta
Woh boli sardiyon mein dhoop ki hadat kabhi dekhi
Main bola tumne mere lams ki shiddat kabhi dekhi
Woh boli dard ke us paar bhi ek dard hota hai
Main us ke baad kitni der tak kuch bhi nahi bola
Qaim Naqvi Poetry 2 lines
Gird chhat jaayegi qaim rasta mil jaayega
Ajnabi raahon mein koi aashna mil jaayega
Kab talak raahon ke beech-o-kham mein yun uljhe rahen
Mod kaatenge to koi silsila mil jaayega
Doob jaayenge sitare phail jaayegi saver
Neem wa aankhon mein koi jagta mil jaayega
Sookhe patte ki tarah hum hain hawa ke haath mein
Urdte urdte ek din hum ko Khuda mil jaayega
Aane wali saaaton ki ab zamaanat kaun de
Kaun jaane kab koi bichhda hua mil jaayega
Har qadam bikhrenge lekin har qadam jud jaayenge
Har qadam par ek naya sail-e-bala mil jaayega
Sard ho jaayenge Qaim hijr ke pichhle peher
Dhoop jab chamkegi khilne ka maza mil jaayega
Abdul Hameed Adam Poetry 2 lines
Maikada Tha, Chandni Thi, Main Na Tha
Maikada tha, chandni thi, main na tha
Ek mujassam bekhudi thi, main na tha
Ishq jab dam torta tha, tum na the
Maut jab sar dhan rahi thi, main na tha
Toor par chheda tha jis ne aap ko
Meri deewangi thi, main woh na tha
Woh haseen baitha tha jab mere qareeb
Lazzat-e-hamsaayi thi, main na tha
Yake kare ke mod par rukti hui
Mudaton ki tishnagi thi, main na tha
Main aur us ghuncha dahan ki aarzu
Aarzu ki saadgi thi, main na tha
Obaidullah Aleem Poetry 2 lines
Kuch Din To Baso Meri Aankhon Mein
Kuch din to baso meri aankhon mein
Phir khwab agar ho jao to kya
Koi rang to do mere chehre ko
Phir zakham agar mehkao to kya
Jab hum hi na mehke phir sahib!
Tum baad-e-saba kehlao to kya
Ek aaina tha so toot gaya
Aab khud se agar sharmao to kya
Tum aas bandhaane wale the
Ab tum bhi humein thukrao to kya
Duniya bhi wohi aur tum bhi wohi
Phir tum se aas lagao to kya
Main tanha tha, main tanha hoon
Tum aao to kya na aao to kya
Jab dekhne wala koi nahi
Bujh jao to kya ghenao to kya
Ab weham hai yeh duniya is mein
Kuch khoo to kya aur pao to kya
Hai yun bhi ziyaan aur yun bhi ziyaan
Jee jao to kya mar jao to kya