Asif Shafi Sad Poetry
Sehar ka rang bohot hi lubhane wala hai
Mujhe yaqeen hai ab koi aane wala hai
Hawa yeh kehti hai ek mojza dikhaye ga
Chiragh haath mein jis ke purane wala hai
Humare baad kisi ke na kaam aaye ga
Humare paas jo naqsha khazane wala hai
Yeh ek hum hain jo zindagi se darte hain
Aur ek woh hai jo duniya banane wala hai
Aapki Shayari
Mujhe yaqeen tha uski wafaon par lekin
Use khabar thi woh mujh ko ganwane wala hai
Apne haathon se chiraghon ko bujhane lag jayein
Tum to kehte ho ke hum log thikane lag jayein
Us ko dekhein to rag-e-jaan se bhi nazdeek hai woh
Aur dhoondein to kai ek zamane lag jayein
Hum isi aas pe baithe hain sar kashte khayal
Ain mumkin hai ke woh ahd nibhaane lag jayein
Sad Poetry
Yahi samjho ke kisi ped pe phal aaya hai
Ghar mein pathar jo har ek simt se aane lag jayein
Theek hai zakhm judaai ka bohot gehra hai
Aur aisa bhi nahi hai ke dikhane lag jayein
Yeh naya ahd-e-rafaqat bhi humein raas nahi
Ab to khwahish hai wohi rog purane lag jayein
Na tha hum nahi the to mohabbat ka zamana bhi
Sheer ulfat mein koi ek fasana bhi na tha
Ishq manzil par kai khwab suhaane pahunche
Dil woh rasta hai jahan koi rawana bhi na tha
Aapki Shayari
Ek musafir ne sar-e-dasht ganwa deen aankhein
Aur jab laut ke aaya to khazana bhi na tha
Sheher-e-ikhlas ne hi is ko amaan di shayad
Jis ka duniya mein kahin koi thikana bhi na tha
Ek khamosh mohabbat ka bharam toot gaya
Uski aankhon mein koi khwab purana bhi na tha
Ek hasrat ke siwa haath na aaya kuch bhi
Dil mein aaye the agar laut ke jana bhi na tha
Aaj phir us ka gulshan hua paamaal Asif
Is dafa tez hawaon ka bahana bhi na tha
Asif Shafi Biography