Aapki Shayari
Bichhde to qurbaton ki dua bhi na kar sake
Ab ke tujhe supurd-e-Khuda bhi na kar sake
Taqseem ho ke reh gaye sad karchiyon mein hum
Naam-e-wafa ka qarz ada bhi na kar sake
Naazuk mizaj log the hum jaise aaina
Toote kuch is tarah ke sada bhi na kar sakte
Khush bhi na rakh sake tujhe hum apni chaah mein
Achhi tarah se tujhe khafa bhi na kar sake
Aisa sulook kar ke tamashai hans padein
Koi gila guzar, gila bhi na kar sake
Hum muntazir rahe koi mashq-e-sitam to ho
Tum maslihat shanas, jafa bhi na kar sake
Poetry in Urdu
Na khat likhun na zabani kalaam tujh se rahe
Khamoshiyon ka yahi inteqam tujh se rahe
Rahe bas itna shanasaai ka bharam baqi
Isharatan hi dua-o-salaam tujh se rahe
Na ahd-e-tark-e-ta’alluq, na qurbatein paiham
Bas ek rabt musalsal, madam tujh se rahe
Yahi rahen tere nashatar tera tareeq-e-ilaaj
Isi tarah gham-e-dil ko dawaam tujh se rahe
Nazar mein aks-fashan ho tere jamaal ki dhoop
Dayaar-e-jaan mein sada rang-e-shaam tujh se rahe
Ab is se barh ke mujhe chahiye bhi kya aakhir
Dayaar-e-fan mein agar naam tujh se rahe
Hairat hai waqt ne bhi sikhaya nahi tujhe
Jeena hai kis tarah yeh bataya nahi tujhe
Aapki Shayari
Misl-e-gulab tar tujhe rakha hai zeet ne
Meri tarah dukhon mein jalaya nahi tujhe
Mujh ko yaqeen tha ke tujhe lautna to hai
Tu rooth bhi gaya to manaya nahi tujhe
Tu ajnabi raha tere haq mein bhala hua
Apnon ki qurbaton ne sataya nahi tujhe
Pichhle hain apni aag mein hum khud magar kabhi
Is aatish-e-junoon mein jalaya nahi tujhe
Itne the dil-girifta judai ki raat hum
Apne the apna koi bhi she’r sunaya nahi tujhe
Aitbar Sajid Biography