Ahmad Faraz Shayari
Ye teer dil mein magar be sabab nahin utra
Koi to harf lab-e-charahgar se nikla tha
Ye ab jo aag bana sheher sheher phaila hai
Yahi dhuaan mere deewar o dar se nikla tha
Ahmad Faraz latest Poetry
Mein raat toot ke roya to chain se soya
Ke dil ka zeher meri chashm-e-tar se nikla tha
Ye ab jo sar hain khameeda kullaah ki khaatir
Ye aib bhi to hum ahl-e-hunar se nikla tha
Wo Qais ab jise Majnun pukarte hain Faraz
Teri tarah koi deewana ghar se nikla tha
Har dawa dard ko barha hi de
Ab to ae dil use bhula hi de
Lutne wale se yun guraiz na kar
Kya khabar woh tujhe dua hi de
Jis ke chehre pe meri aankhein hain
Mujhe taana kam nigahi de
Ye bhi ek shewa-e-rafaqat hai
Jaane walon ko rasta hi de
Jankani ke azaab se nakhloon
Aakhri teer bhi chala hi de
Abtu jaise farar-e-baad-e-murad
Zindgi ka diya bujha hi de
Ahmad Faraz latest Poetry
Jis simt bhi dekhun nazar aata hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahan yeh koi tum sa hai ke tum ho
yeh khwab hai khushboo hai ke jhonka hai ke pal hai
yeh dhund hai baadal hai ke saaya hai ke tum ho
is deed ki saa'at mein kai rang hain larzaan
main hoon ke koi aur hai duniya hai ke tum ho
dekho yeh kisi aur ki aankhein hain ke meri
dekho yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho
Aapki Shayari
ye umr guraizaan kahin thehre to yeh jaanun
har saans mein mujh ko yahi lagta hai ke tum ho
har bazm mein mauzoo-e-sukhan dil zadegaan ka
ab goon hai sheereen hai ke Laila hai ke tum ho
ik dard ka phela hua sehra hai ke main hoon
ik mauj mein aaya hua darya hai ke tum hohar
Ahmad Faraz Shayari
Zlafz raaton ki hai rangat hai ujaalon jaisi
Par jidi tabiyat hai wohi bhoolne walon jaisi
Ik zamane ki rafaqat pe bhi ram khurda hai
Is kam aamez ki khoo boo hai ghazalon jaisi
Dhoondta phirta hoon logon mein shabahat uski
Ke woh khwabon mein bhi lagti hai khayalon jaisi
Kis dil azaar masafat se main lota hoon ke hai
Aansuon mein bhi teek paaon ke chhalon jaisi
Us ki baatein bhi dil aavez hain soorat ki tarah
Meri sochhein bhi pareshan mere baalon jaisi
Ahmad Faraz Best Poetry
Us ki aankhon ko kabhi ghaur se dekha hai Faraz
Rone walon ki tarah jaagne walon jaisi
Hum bhi kya saada thay, hum ne bhi samajh rakha tha
Gham doraan se juda hai gham jaanaan jaanaan
Har koi apni hi awaaz se kaanp uth'ta hai
Har koi apne hi saaye se haraasan jaanaan
Jis ko dekho wahi zanjeer bapa lagta hai
Shehr ka shehr hua daakhil zindan jaanaan
Ahmad Faraz latest Poetry
Ab tera zikr bhi shayad hi ghazal mein aaye
Aur se aur huye dard ke anwaan jaanaan
Hum ke roothi hui raat ko bhi manaa lete thay
Hum ne dekha hi nah tha mausam hijraan jaanaan
Hosh aaya to kabhi khwaab thay reza reza
Jaise urte hue aawaq pareeshaan jaanaan
Woh waqt na aaye ke dil zaar bhi soch
Is shehr mein tanha koi hum sa hai ke tum ho
Aabaaad hum aashufta saroon se nahin maqtool
Ye rasam bhi is shehr mein zinda hai ke tum ho
Aapki Shayari
Aye jaan-e-faraz itni bhi tawfeeq ke thi
Hum ko gham hasti bhi guwaarah hai ke tum ho
Abke tajdeed-e-wafa ka nahin imkaan, jaana
Yaad kya tujhe ko dilayein tera paiman, jaana
Yunhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai
Kis qadar jald badal jaate hain insaan, jaana
Zindagi teri ata thi so tere naam ki hai
Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan, jaana
Awwal awwal ki mohabbat ke nashe yaad to kar
Bhi tera chehra tha gulistaan, jaana
Ahmad Faraz Biography
Aakhir aakhir to ye aalam hai ke ab hosh nahin
Rag-e-meena sulag uthi ke rag-e-jaan, jaana
Muddaton se yahi aalam na tawakku na umeed
dil pukare hi chala jaata hai jaana, jaana
junoon-e-masaafat mein ghar nikla tha
khabar nahin hai ke sooraj kidhar nikla tha
ye kaun phir se unhi raaston mein chhod gaya
abhi abhi to azaab-e-safar tak nikla tha.