Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
So us ke sheher mein kuch din theher ke dekhte hain
Heart Touching Sad Poetry
Suna hai rabta hai us ko kharab haalon se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naaz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Heart Touching Sad Poetry
Suna hai us ko bhi hai she'r o shaayari se shughaf
So hum bhi mo'jze apne hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baaton se phool jhadhte hain
Yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat use chaand takta rehta hai
Sitaare baam-e-falak se utar ke dekhte hain
Heart Touching Sad Poetry
Suna hai din ko use titliyan sataati hain
Suna hai raat ko jugnu guzar ke dekhte hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhen
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai raat se badh kar hain kaaklein us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhte hain
Siyah chashm to dekhe hain par na aise bhi
Ke us ko surma farosh aah bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulaab jalte hain
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina tamsaal hai jabin us ki
Jo saada dil hai use ban sanwar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan mein
Mizaaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain
Heart touching shayari
Suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan mein
Palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ki taraash aisi hai
Ke phool apni qabaaen katar ke dekhte hain
Woh sarv qad hai magar be-gul-e-murad nahi
Ke us shajar pe shagoofe samar ke dekhte hain
Nazar uthe to yeh samjho ke deen o dil to gaye
So rahrawaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
Ta ke us mein udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain
Suna hai gardishen us ka tawaaf karti hain
Chale to us ko zamane thehar ke dekhte hain
Ke naseeb ke be-pairahan use dekhe kabhi
Kabhi kabhi dar o deewar ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghe hi sahi
Agar woh khwab hai taabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke sheher mein thehrein ke kooch kar jaayein
Faraaz aao sitaare safar ke dekhte hain
Tha abas tark-e-taluq ka irada yun bhi
Ishq zinda nahi rehta hai zyada yun bhi
Ek to un aankhon mein nasha tha bala ka
Us par hum ko marghoob hai kefiyat-e-baadah yun bhi
Nama bar us se na ahwal hamara kehna
Woh tanak khu hai bigad jaye mabada yun bhi
So gaye hum bhi ke bekaar tha rasta takta
Us ko aana hi nahi tha shab-e-waada yun bhi
Kuch to woh husn pasheman hai jafa par apni
Aur kuch us ke liye dil tha goshaada yun bhi
Kooch kar jaate hain hum kooye mohabbat se Faraz
Un dino chaak garebaan hain zyada yun bhi
Qaim Naqvi
Gird chhat jaayegi qaim rasta mil jaayega
Ajnabi raahon mein koi aashna mil jaayega
Kab talak raahon ke beech-o-kham mein yun uljhe rahen
Mod kaatenge to koi silsila mil jaayega
Doob jaayenge sitare phail jaayegi saver
Neem wa aankhon mein koi jagta mil jaayega
Sookhe patte ki tarah hum hain hawa ke haath mein
Urdte urdte ek din hum ko Khuda mil jaayega
Aane wali saaaton ki ab zamaanat kaun de
Kaun jaane kab koi bichhda hua mil jaayega
Har qadam bikhrenge lekin har qadam jud jaayenge
Har qadam par ek naya sail-e-bala mil jaayega
Sard ho jaayenge Qaim hijr ke pichhle peher
Dhoop jab chamkegi khilne ka maza mil jaayega