Nadeem Anjum Best Poetry Koi sachha mil jaye agar tum ko in Urdu 2024

Nadeem Anjum Best Poetry

Best Poetry Aapki Shayari

Kabhi kisi ko mohabbat mein aazmana nahi
Ghuroor-e-husn se us ko kabhi jhukana nahi

Samaaj apna kirdaar ada karta hai
Apne dil mein kabhi waswase basaana nahi

Jo na aankhon se baat teri samjhe
Use apne honton se kuch kabhi bataana nahi

Koi sachha mil jaye agar tum ko
To kisi keemat par phir use ganwaana nahi

Gar qiyaamat tak saath chalna chahte ho
Badan ke faasle itne bhi mitaana nahi
Best Poetry Aapki Shayari

Kharab logon se milna milana achha lagta hai

Humein khud ko museebat mein le jana achha lagta hai

Lagta tha kabhi hasna basaana humein achha
Ab yeh haalat ke rona, rulaana achha lagta hai

Koi pyaar se bole to baat karte hain magar
Unka ghusse se bulaana achha lagta hai

Ibtida dil tarasta tha unki qurbat ko
Magar ab un se door bhaag jaana achha lagta hai
Best Poetry Aapki Shayari

Meri zeest ke har ek khwab mein tum ho

Main ek mahi hoon aur aap mein tum ho

Jo har jagah mil jaye aisa ishq hoon main
Bazaar-e-husn ke jins-e-nayaab mein tum ho

Apni marzi se jab chahe baras padta hai
Mere dil ke falak par sahaab mein tum ho

Mere wujood se sarzad gunaah mein main hoon
Meri zeest ik ik sawaab mein tum ho

Husn walon mein main ek muamma hoon
Dil walon ke shaamil nisaab mein tum ho

Main to mar kar bhi tujh ko bhool sakta nahi
Meri takhleeq hai jis se turaab mein tum ho
Best Poetry Aapki Shayari

Jis raaz pe sadiyon se dil ne pehra diya

Woh jab khula to ajab zakhm us ne gehra diya

Tere jahaan mein gar teer ko hi chalni thi
Mere Khuda mujhe libaas kyun akra diya

Wohi de gaya sochon ki kaali raat mujhe
Apni qurbat ka har lamha jise sunhera diya

Usne to sonp di aasaan jafa
Aur mujh ko kadi wafaon ka yeh mere sar pe sehra diya

Jahan bhi jaaye gi fateh naseeb paaye gi
Meri mohabbat ne parcham wafa ka lehra diya
Best Poetry Aapki Shayari

Tujhe paane ka dil ko nahi gumaan tak
Phir bhi jaaye ga tere liye samaan tak

Abhi hai khaamoshi aazmaish ke samandar mein
Dil lade ga tere liye toofaan tak

Apne qalam se main kyun kar kar bala likhoon
Lafz jaate nahi mere un ki shaan tak

Husn walon mein hi koi gayi baat nahi
Ishq to lagta hai aakhri farmaan tak

Wafa ke jurm mein chahe mujhe masloob karo
Mera to waasta hai bas mere Qur'an tak

Wisaal raat ke har aashiq ne maze loote
Faqat mera hi talluq tha zabaan tak

Nahi to mera, par main, tera hoon, yehi maanoon
Mere dil ko nahi lams ka armaan tak

Wafa ke raste kitne hi pur khatar kyun hoon
Deewane lete nahi saath kuch samaan tak

Mere wujood ne hi khud sambhala diya
Darind aa gaye the mere har machaan tak

Meri aqal ne har baar use thukraaya
Mere dil ne magar na kiya dhyaan tak

Yeh kaafir mil kar jitni bhi saazishe kar lein
Jihad karna tum aakhri jawaan tak
Best Poetry Aapki Shayari

Yeh kaun shakhs hai mere khayal mein utra
Lage siyaad koi apne hi jaal mein utra

Tum haseen ho to main bhi khoobsurat hoon
Hai kaun jo poora jamaal mein utra

Teri yaad mein marta na behlta hai dil
Ab ke kisi kannd bhaal mein utra

Gham-e-hijr mein jab mera badan nang hua
Falak mere liye taaron ki shaal mein utra

Kitna dilfareb lagta hai ab calendar bhi
Milan ka din jo ab ke saal mein utra

Mere Khuda ne mujhe marzi se wafa bakhshi
Magar main phir na poora kamaal mein utra

Yun utra meri zindagi mein jaan Nadeem
Ke ban kar Eid mah-e-Shawaal mein utra
Best Poetry Aapki Shayari

Gale chhodo mujhe toot kar tum pyaar karo
Zulf se baandh kar baanhon mein giraftaar karo

Wisaal raat mein apni garm chahat se
Khud ko mere khush naseebon mein shumaar karo

Apne khush numa honton se badan choom kar
Shadeed daar koi mere dil ke paar karo

Apne jaadu se mere hawas tak cheeno
Mere wujood ko kuch is tarah laachaar karo

Pyaar ibadat hai yeh kab samaaj jaane ga
Ise dabao nahi sab iska prachaar karo
Best Poetry Aapki Shayari

Ik shakhs tere naam hona chahta hai
Tere ghar ke dar-o-baam hona chahta hai

Kitna mushtaq hai woh us ka junoon dekho
Aise lagta hai badnaam hona chahta hai

Jis ki zindagi roshan seher ki maanind hai
Najane kis liye woh shaam hona chahta hai

Sehra-e-ishq mein woh apni jawani ka
Shayad badtar koi anjaam hona chahta hai

Guzar to jaaye ga yeh toofan bhi aakhir
Magar woh ibrat ka paighaam hona chahta hai

Jis ne loota hai har tarah se Anjum ko
Usi ki khaatir woh nilam hona chahta hai
Best Poetry Aapki Shayari

Gale chhodo mujhe toot kar tum pyaar karo
Zulf se baandh kar baanhon mein giraftaar karo

Wisaal raat mein apni garm chahat se
Khud ko mere khush naseebon mein shumaar karo

Apne khush numa honton se badan choom kar
Shadeed daar koi mere dil ke paar karo

Apne jaadu se mere hawas tak cheeno
Mere wujood ko kuch is tarah laachaar karo

Pyaar ibadat hai yeh kab samaaj jaane ga
Ise dabao nahi sab iska prachaar karo
Nadeem Anjum Biography

1 thought on “Nadeem Anjum Best Poetry Koi sachha mil jaye agar tum ko in Urdu 2024”

Leave a Comment