Nadeem Anjum Romantic Poetry
Lahoo ke saath ragon mein pyaar tera hai
Tu jahan jayein kahin ho yaar mera hai
Yaad aati hai woh baarishon ke mausam mein
Ab jo aati nahi baarishon ke mausam mein
Piya karte the hum baarishon ke mausam mein
Ab woh bhaati nahi baarishon ke mausam mein
Romantic Poetry Aapki Shayari
Us se waabasta maazi kam raha
Mere dil ko us ka gham raha
Woh bhi khush na tha raqeeb ke saath
Ana parast zid par jam raha
Jis ke aage zamana jhukta tha
Woh sar us ke aage kham raha
Mujhe barbaad kar ke khush to thi
Aanchal us ka bhi purnam raha
Baad muddat ke mile Anjum
Hum to "tum" hue woh "hum" raha
Hum to zinda hain tere bas naam se
Ya phir sahaara hai humein kuch jaam se
Ishq ne kuch is qadar ghaayal kiya
Ho gaye hain duniya mein nakaam se
Sochna bhi yeh gunaah hai ishq mein
Kat rahi thi zindagi aaraam se
Is liye likhta hoon ghazlein main Nadeem
Kuch to woh hasil kare paighaam se
Pooshte ho kyun deewane ka pata
Kya karoge mil kar us badnaam se
Din guzar jata hai mera sheher mein
Sochne lagta hoon us ko shaam se
Kaash! lamha aaye ke woh yaad kare
Aur humein maloom ho ilhaam se
Is wafa ke dhoke mein jo aa gaya
Phir nikal sakta nahi woh daam se
Hum to hain ek aam se bande Nadeem
Rote dekhe hain bohot gulfaam se
Romantic Poetry Aapki Shayari
Yeh jo pyaar ki kahani hai
Wujood-e-zan se bhi purani hai
Chahe sucha hai ya jhoota woh
Ab yeh reet to nibhaani hai
Jo na mar kar bhi koi bhoole
Woh kuch aur nahi, jawani hai
Raat guzre meri kisi ke saath
Uski yaad nahi bhulani hai
Jo hai sab se ajeeb duniya mein
Woh faqat meri zindagani hai
Romantic Poetry Aapki Shayari
Yeh aaj dil ko kya ho gaya hai gzal
Uski yaad mein hi kho gaya hai
Jo bachha naram bistar par bhi roya
Aaj jungle mein kaise so gaya hai
Uski nafrat ka bhi beej dil mein
Ulfat ke tarane ho gaya hai
Gham ki taghyanion mein khela dil
Ek qatara use doob gaya hai
Mere bikhre hue wujood ko
Woh mere andar hi so gaya hai
Ishq paataal se barh gehra hai
Nahi aaya hai wapas jo gaya hai
Woh apne gudaaz haathon se
Dil mein kaante kyun chho gaya hai
Meri aankhon se selaab jaari
Mere dil ke daagh dho gaya hai
Mere marne ke baad samjha mujhe
Meri yeh jeet samajh to gaya hai
Romantic Poetry Aapki Shayari
Woh agar dil se mere hat jaye
gazalZeest khwahishon mein bat jaye
Manzil-e-ishq kise milti hai
Chalo kuch raasta hi kat jaye
Andheri raat ka musafir hoon
Main chaloon aur chaand ghat jaye
Ab koi mujhe umeed na de
Dil shayad khushi se phat jaye
Romantic Poetry Aapki Shayari
Tera lehja go teer jaisa tha
Par mera zarf Meer jaisa tha
Kitna mazboot band hai baandh gaya
Woh ik shakhs lakeer jaisa tha
Jo akela hi apni hasti mein
Koi mehfil ki bheed jaisa tha
Nadeem khwahishon ko chalta raha
Phir bhi lagta faqeer jaisa tha
Mera tha par usi ka raha
Dil pagal shareer jaisa tha
Romantic Poetry Aapki Shayari
Woh mujhe chahne laga hai anjum
Bhi to ho gaya hai pyaar khud se
Us ko milte hi bataoon ga
Main bhi tha kabhi bezaar khud se
Khuda jaane kisi mein kya chhupa hai
Banate hain sabhi mayaar khud se
Yeh jafa, wafa kyun kar raha hai
Nahi poocha kisi ne yaar khud se
Haan yeh sach hai ke deewane bhi
Bane phirte hain sab beemar khud se
Romantic Poetry Aapki Shayari
Jab bhi milte ho khwab dete ho
Is qadar kyun azaab dete ho
Meri masoom pyaas ki khatir
Mujhe tum kyun saraab dete ho
Khushiyan dete ho magar gin kar
Aur gham be hisaab dete ho
Meri nigahon ke sawalon ka
Kyun nahi koi jawab dete ho
Magar yeh sach hai ke anjum ko
Jo bhi dete nayab dete ho
Romantic Poetry Aapki Shayari
Woh agar dastiab ho jaye
Mera jeena sawaab ho jaye
Main jo ab tak ek sawal raha
Sanam us ka jawab ho jaye
Wisaal raat mein uski chahat se
Dil veeran seraab ho jaye
Phir woh choome haseen honton se
Badan saara gulaab ho jaye
Yun pilaaye woh apne haathon se
Saada paani sharaab ho jaye
Main jo zinda hoon faqat ab tak
Sachha shayad yeh khwab ho jaye
Nadeem Anjum Biography
2 thoughts on “Nadeem Anjum Romantic Poetry Yeh jo Pyaar ki K ahani hai in Urdu 2024”