Nadeem Anjum Sad Poetry Us ki Galiyon mein
Nadeem Anjum Sad Poetry
Ikhtiyar
Kabhi hum in sochon ko khud bulate hain
Shayad masroof rehne ke liye
Apna aap jalate hain
Aur phir kar ke bahana koli
Kisi jungle mein door tak
Bhaag jaate hain
Teri yaadon ke diye
Khud jalate hain
Khayaal khud jalate hain
Woh mere qurb ki din raat dua maangta hai
Apne gham mujh ko bila mu'awaza dene wala
Us ki galiyon mein jis ne rona hai
Khudi apni ko us ne khona hai
Wafa ka kuch nahi asar un par
Apne aap ko daboona hai
Raat aate ho, din ko jaate ho
Kya yeh dil mera khilona hai
Bade lagte hain aashob magar
Daagh dil ko bhi to dhona hai
Sad Poetry Aapki Shayari
Mujhe tum pyaar ki surat milo
Yeh ana ka khol tum utaar kar
Kabhi iqraar ki surat milo
Main tere paas aaya tha
Gham behlane
Apni katha se bhulane, neem tujhe rulane ko
Apne badan par teri chahatoun ka khol charhane
Mujhe tum dhaal ki surat milo, kabhi to pyaar ki surat milo
Sad Poetry Aapki Shayari
Na main ishq ka putla hoon na tum khoobsurat ho
Phir bhi dekho ke tum hi faqat meri zaroorat ho
Tum ne mujh se koi iqraar, na main ne tum se kiya
Dil yeh kehta hai shayad tumhein meri zaroorat ho?
Ittifaqaat to aise hua karte hain ulfat mein
Achha to kya tum hi mere khwabon ki moorat ho?
Mere jazbaat tere izhaar ke hain mohtaaj
Ab to keh do ke tum hi mere khwabon ki moorat ho
Sad Poetry Aapki Shayari
Ek aam si soorat ho par najane kyun
Is zamane mein tum hi nayaab lagte ho
Haqeeqat
Jo log gham-e-ishq par
Gham-e-duniya, gham-e-rozgaar
Aur haqeeqat ko bhaari kehte hain
Unhein kya pata haqeeqat kya hai
Sachai kya hai
Kisi ke saath bhalaai kya hai
Duniya mein yeh kaarawai kya hai
Yeh jahaan, yeh khudai kya hai
Sab kuch pyaar hai aur pyaar? Haqeeqat hai
Sad Poetry Aapki Shayari
Jis ki khaatir main duniya se faraar hua
Woh shakhs aakhir mujh se hi bezaar hua
Jis se pehle mere raat din sukoon mein the
Us ke baad mera har lamha angaar hua
Jaan par laakh sitam hue magar phir bhi
Mere waaste mere dil ka wahi qaraar hua
Jafaaein de kar meri wafaaon ke badle mein
Mere saamne woh phir na sharmsaar hua
Luta kar sab kuch apna is mohabbat mein
Jahaan ki nazron mein Anjum hi gunahgaar hua
Sad Poetry Aapki Shayari
Tum haseen nahi phir kyun gulaab lagte ho
Kabhi chashma kabhi koi saraab lagte ho
Sad Poetry Aapki Shayari
Gham ka saathi
Udaas raaton mein
Jab dil sehraon mein bhatke
Ya kahin
Jangalon mein door chala jaye
Aur jab
Guzarte hue lamhaat
Darinday ban jayein
To koi anjaana sa chehra
Maazi ki dhund mein se
Jhaankta hai
Aur phir chupke se mere paas aakar
Baith jata hai
Kaun hai yeh?
Sad Poetry Aapki Shayari
Aaye tanha the, jana tanha hai, jeena saath kyun?
Aur jo khud na mile, uski taraf badhana haath kyun?
Magar yeh baat to dil pagal na samajh paye
Din to kat jata hai tanha, phir nahi raat kyun?
Main apne sabr ko aazma chuka magar nasih
Woh na pighla na hi machle koi jazbaat kyun?
Na koi Heer rahi ab na hi Majnun faryaad
Phir yeh log bhala rakhte hain takhllusaat kyun?
Wisal ke baad hi dil khud ko tanha paata hai
Phir bhi karta hoon main us se mulaqat kyun?
Jab yeh haalat ho us ko ishq kehte hain
Wujood apna hai aur woh bane rahte hain
Sad Poetry Aapki Shayari
Sheeshe ka ghar
Kaun jaanta hai yeh kab tak qaim rahe
Jahan maine dheron sapne saja kar
Teri yaadon ko bula kar
Apni hasrat ko sila kar
Khoon-e-jigar jala kar
Fitrat se rang chura kar
Jahan teri tasveer chhupa rakhi hai
Kab tak qaim rahe
Tum se khayal mein milna hi itna achha laga
Us din se kabhi haqeeqat ka tasavvur nahi kiya
Sad Poetry Aapki Shayari
Teesra
Chaandni ki baarish mein
Ya haseen khwabon mein
Raaste mein chalte hue
Chahe kai hijaabon mein
Kahin bahaar rut mein
Aur kahin mehke hue gulaabon mein
Ya phir
Khizaan ke mausam mein
Tum jab milo
Tere aur mere beech
Teesra koi na ho
Sad Poetry Aapki Shayari
Jab bhi do dil sataaye jaate hain
Bohat toofaan uthaaye jaate hain
Jin ko azaad kiya jaata hai
Unhi ke lab silaaye jaate hain
Ahl-e-duniya jinhein masloob kare
Woh to zinda uthaaye jaate hain
Jab baat baqaye deen ki ho to Ibn-e-Ali bulaaye jaate hain
Un ke rasto se kaante utha kar hum wahan gul khilaaye jaate hain
Hum bhi tableegh kiya karte hain apni ghazlein sunaaye jaate hain
Nadeem Anjum Biography
1 thought on “Nadeem Anjum Sad Poetry Us ki Galiyon mein jis ne Rona hai in Urdu 2024”