Nadeem Anjum Best Poetry Dil tere tasawwur mein rahe kab tak in Urdu 2024

Nadeem Anjum Best Poetry

Best Poetry Aapki Shayari

Dil tere tasawwur mein rahe kab tak
Saans toot na jaye meri tab tak

Guzar jaati hai raat meri sapnon mein
Dasta rehta hai yeh din mujhe shab tak

Pane nikle the log ishq ki manzil
Suraag raste ka bhi nahi mila ab tak

Deewane is qadar gharq teri yaadon mein
Ali le ke chale the tujhe Rabb tak

Ishq ke khel mein koi mustajabi mustajabi nahi
Kya dua jo aayi nahi lab tak
Tumhi se milta hoon ya phir tumhari yaadon se 
Mile jo waqt to phir khud se mulaqat karoon
Best Poetry Aapki Shayari

Yaad Dahani Suno Tum mere paas.Aane se pehle.
Apni ana ko.Wahshat ke kamre mein.
Band kar ke wahan meri chahat ka pehra bitha aaya karo
Mila woh jab bhi naraaz kar gaya mujh ko 
Shayad woh jaanta hai mujhe us se pyaar hai
Best Poetry Aapki Shayari

Yeh kab kaha meri shayari falsafana hai
Na hi kehta hoon yeh pyaar ka tarana hai

Apni mehroomiyan is mein bayaan karta hoon
Yeh to tum ko manane ka ik bahaana hai

Ab marzi teri jis ko tu manzoor kare
Zehn bhanwra hai to dil mera parwana hai

Meri yeh aadat nahi fitrat bhi nahi jaana
Suna hai kaam woh achha hai jo miyaana hai

Yeh to duniya hai, kaun yahan apna hai
Aaj gar apna hai to kal wahi begana hai

Jin ko apni wafa pe yaqeen hota nahi
Woh yeh kehte hain ke raste mein zamaana hai
Mujh pe nahi thi ek baar kabhi tanhai meri
Tab se unke khayal ko main saath rakhta hoon
Best Poetry Aapki Shayari

Bhool jaoon na main un ke khayalaat kahin
Kyun na kar lein phir ek un se mulaqat kahin

Jis tarah aati hai woh yaad mein bhi aaoon use
Mujhe bhi sonp de aise woh ikhtiyaaraat kahin

Mo'jze aur bhi duniya mein bohot hote hain
Na huyeen mujh par koi aisi karaamaat kahin

Khuda ki qasam woh meri tamaam umr rahe
Gar dekh le woh mere yeh jazbaat kahin

Nadeem aao, chalo tum bhi naha lo is mein
Ruk jaye na yeh ashkon ki barsaat kahin
Nahi hai uzr khuda bhej de jahannum mein
Magar ho yaad uski saath maza wahan bhi ho
Best Poetry Aapki Shayari

Raaz dil ko band hi rakhna, khud par bhi na kholna
Meri koi parwa nahi, apna aap na rolna

Prem wafa do saathi hain, prem nagar ke raste mein
Raste par gar chal nikle ho raste mein na dolna

Maal o zar ke badle mein chahe Yusuf bik jaye
Pyar wafa ka mol nahi koi, pyar wafa na tolna

Tere dil ki jaane tu, tere bare kya kehna
Main tera tha, main tera hoon, main tera hoon, dholna

Ek sheher mein rehte hain, aur zulm bhi sahte hain
Phir bhi yeh paabandi hai ke lafzon mein na bolna
Tere zakhmon par to rakhein ge marham Magar 
hum apne haathon se Apne zakhm na sekein ge
Best Poetry Aapki Shayari

Aankhein nam hain honton se naam jaata nahi
Ek shakhs magar mere ghar mein aata nahi

Mere wujood se gar is qadar bezaar hai
Woh apne haathon se phir zeher kyun pilata nahi

Jis ki qurbat mein uske raat din guzre
Kya ghazab hai wahi shakhs use bhaata nahi

Woh jaise mere liye pehle kabhi hota tha
Ab woh us tarah pyaar se bulata nahi
Tum agar zeher bhi pilao tum Hum piyein ge 
teri judai mein Hargiz magar na jeeyein ge
Main use maan to loon apna Bhagwan
Par Nadeem use maloom to ho poojta hai kaun use
Best Poetry Aaoki Shayari

Us ke qadmon mein gire jaate hain
Jis ka naqsh-e-paa bhi apna nahi!
Best Poetry Aapki Shayari

Pyaar karna to dil khud hi sikha deta hai
Yeh to ajnabi ko bhi mehboob bana deta hai

Haan yeh sach hai ke mujh se mohabbat nahi use
To apni zaroorat ka maza leta hai

Woh yeh samjha hai mujhe rakh le ga dhoke mein
Magar woh is tarah khud ko hi saza deta hai

Main us se kar loon talluq qat' magar Anjum Nadeem
Is tarah use nazron se gira deta hai
Best Poetry Aapki Shayari

Aawargi

Aaj ki raat tere saath guzaar leta hoon
Kal chala jaaoonga yeh baat tujhe maloom rahe

Main ek dariya hoon ke banne se na roke koi
Main nahi chahta ke koi doosra mehroom rahe
Best Poetry Aapki Shayari

Main ne jab se hai izhaar kiya
Us ne jeena mera dushwaar kiya

Kabhi aayenge meri zindagi mein
Tabhi to rasta na purkhaar kiya

Yun to khush mizaj bhi hai magar
Zubaan ko mere liye talwaar kiya

Log rakhte hain wafa ko azeez
Us ne chehre ko mayaar kiya

Us se achi khaamosh ulfat thi
Haye Anjum kyun izhaar kiya
Nadeem Anjum Biography




2 thoughts on “Nadeem Anjum Best Poetry Dil tere tasawwur mein rahe kab tak in Urdu 2024”

Leave a Comment