Habib Jalib Famous Poetry
Dil walo kyun dil ki daulat yun bekaar lutaate ho
Kyun is andhiyaari basti mein pyaar ki jot jagaate ho
Tum aisa nadaan jahan mein koi nahin hai koi nahin
Phir un galiyon mein jaate ho pak pak thokar khate ho
Famous Poetry
Sundar kaliyoon! Kol phoolon! Yeh to batao yeh to kaho
Aakhir tum kya jaadu hai kyun man mein bas jaate ho
Yeh mausam rimjhim ka mausam yeh barkha yeh mast fizaa
Aise mein aao to jaanen aise mein kab aate ho
Aapki Shayari
Hum se rooth ke jaane walo! Itna bhed bata jao
Kyun nat raaton ko sapnon mein aate ho man jaate ho
Paand sitaron ke jhurmat mein phoolon ki muskaahat mein
Tum chhup chhup kar hanste ho tum roop ka maan badhaate ho
Habib Jalib Biography