Momin Khan Momin Best Ghazal
Woh jo hum mein tum mein qaraar tha Tumhein yaad ho ke na yaad ho
Wohi waada yani nibaha ka.Tumhein yaad ho ke na yaad ho
Woh jo lutf mujh pe the peshtar.Woh karam ke tha mere haal par
Mujhe sab hai yaad zara zara.Tumhein yaad ho ke na yaad ho
Kabhi baithe jo sab mein roobaru.To ishaaron hi se guftagu
Woh bayan shauq ka baramala.Tumhein yaad ho ke na yaad ho
Best Ghazal
Woh naye gile woh shikayatein.Woh maze maze ki hikayatein
Woh har ek baat pe roothna.Tumhein yaad ho ke na yaad ho
Woh bigadna visaal ki raat ka.Woh na maanna kisi baat ka
Woh nahi nahi ki har aan ada.Tumhein yaad ho ke na yaad ho
Suno zikr hai kai saal ka.Ke kiya ek aap ne waada tha
So nibahane ka to zikr kya.Tumhein yaad ho ke na yaad ho
Aapki Shayari
Jise aap kehte the aashna.Jaise aap kehte the bewafa
Main wohi hoon mumin mubtala.Tumhein yaad ho ke na yaad ho
Zindagi ka dard le kar inquilaab aaya to kya
Ek dosheeza pe ghurbat mein shabaab aaya to kya
Tasheena anwaar hai ab tak aroos zindagi!
Badalon ki paalii mein aftaab aaya to kya
Ab to aankhon par gham hasti ke parde pad gaye
Ab koi husn tajassum be naqaab aaya to kya
Best Ghazal
Phir wohi jehd musalsal phir wohi fikr ma'aash
Manzil-e-jaan se koi kamiyab aaya to kya
Ek tajalli se munawwar kijiye qasr-e-hayat
Har tajalli par dil khana kharab aaya to kya
Baat jab hai gham ke maaron ko jala de
To teh zinda mein mitti mein daab aaya to kya
Momin Khan Momin Biography