Farhat Abbas Shah Famous Poetry in Urdu 2024

Farhat Abbas Shah Famous Poetry

Aapki Shayari

Yeh dil, yeh jaan, yeh khwab o khayaal kis ka hai
Lagaaya hua sab yeh maal kis ka hai

Koi to baat thi aisi meri gadaai mein
Ke usne chonk ke poocha sawal kis ka hai

Lahoo ki koi khulish ya kisi ki kaarigari
Rag-e-gulaab se dil tak kamaal kis ka hai

Hami ko bakhsh ke husn-e-jahaan-e-rang o boo
Ke hami se poochh rahe ho jamaal kis ka hai

Farhat Abbas Shah Poetry

Janam janam mein bichhadtay hain hum bhala kis se
Qadam qadam pe jahaan mein visaal kis ka hai

Yeh kaun hai jo meri jad ke baar sochta hai
Mere khayaal se arfa khayaal kis ka hai

Lagta hai hum ko maloom hai is baat par
Sar lagta koi hilaata hai
Dar lagta koi zanjeer hilaata hai to hai

Koi khamoshi hai lipti hui veerani mein
Dil pe bichhdi hui shaamon ka asar lagta hai

Meri aawaara mizaaji ko bohot sehl na jaan
Ek hi raah pe umrhon ka safar lagta hai

Kya kahoon kho-e-junoon pehle qadam par tere
Jaan lagti hai, hunar lagta hai, ghar lagta hai

Yun ijaazat ko bhi had chahiye
Sehan-e-dil mein pehle deewar banaate hain to dar lagta hai

Kitna chup chaap hai ujray hue shehron ki tarah
Koi tanhai ke mausam ka shajar lagta hai

Kisi ko bhi mujrim thehraya ja sakta hai
Gar marzi ka munsif laya ja sakta hai

Farhat Abbas Shah Poetry

Us ke ehsanaat ki baat chalegi to
Dil ka ek ek zakhm dikhaya ja sakta hai

Chain ki bhi apni bechaini hoti hai
Kisi bhi haalat se uktaya ja sakta hai

Jayein warna mumkin hai aansu tanha reh jayein
Tanhai ko saath milaya ja sakta hai

Mod mod par bhool bhulaiyan pheli hain
Kaise dil tak dil pahunchaaya ja sakta hai

Ek samandar lehrein maartay jazbon ka
Kya aankhon mein bhar ke laya ja sakta hai

Gham ko bhi dildaari karni aati hai
Gham ko bhi dildaar banaya ja sakta hai
Farhat Abbas Shah Biography

Leave a Comment