Abbas Tabish Poetry
Din nikalta to kahin shor machane jata
Main parindon mein parinda nazar aane jata
Kya mujhe aur koi kaam nahi tha is se
Kya main dariya mein faqat phool bahaane jata
Meri aankhen hi jise dekh ke sharminda thein
Main gunaah-gar use haath lagane jata
Mere maanind agar un ki bhi aankhen hoti
Main naya zakhm darakhton ko dikhane jata
Gar ijaazat mujhe deti mere andar ki bharak
Main yahi aag tere ghar ko lagane jata
Aapki shayari
Sab ke aage to aziyat na jhatakta mera dil
Mor ki tarah kahin pankh giraane jata
Yeh parinde jo mujhe raah sujhate Taabish
Ghaib ke bagh se main phool churane jata
Kam sukhan hain pas-e-izhaar mile hain tujh se
Lamnay yeh hai to kai baar mile hain tujh se
Jaante hain ke nahi sahal mohabbat karna
Yeh to ek zidd mein mere yaar mile hain tujh se
Tez raftari duniya kahan mohlat degi
Hum sar-garmi-e-baazaar mile hain tujh se
Aapki shayari
Kabhi laate the tere wastay jo shaakh-e-gulab
Woh bhi ab kheench ke talwaar mile hain tujh se
Tere milne se unhein rok saka hai koi
Milne wale to sar-daar mile hain tujh se
Kheench laati hai humein teri mohabbat warna
Aakhri baar kai baar mile hain tujh se

Abbas Tabish Biography