Wasi Shah Sad Poetry
Apne ehsaas se choo kar mujhe sandal kar do
Main ke sadiyon se adhoora hoon, mukammal kar do
Na tumhein hosh rahe aur na mujhe hosh rahe
Yaar is qadar toot ke chaho, mujhe pagal kar do
Tum hatheli ko mere pyaar ki mehndi se rango
Apni aankhon mein mere naam ka kajal kar do
Jaise sehraon mein har shaam hawa chalti hai
Is tarah mujh mein chalo aur mujhe khil kar do
Masla hoon to nigaahein na churao mujh se
Apni chahat se, tawajju se mujhe hal kar do
Us ke saaye mein mere khwab damak uthhenge
Mere chehre par chamakta hua aanchal kar do
Dhoop hi dhoop hoon main, toot ke barso mujh par
Is qadar barso ke meri rooh ko jal thal kar do
Sad Poetry
Tum chhupa lo mera dil oot mein apne dil ki
Aur mujhe meri nigaahon se bhi ojhal kar do
Apne gham se kaho har waqt mere saath rahe
Ek ehsaan karo is ko musalsal kar do
Mujh pe chha jao kisi aag ki soorat jaana
Aur meri zaat ko sookha hua jungle kar do
Baandh lein haath par, seene pe saja lein tum ko
Bhi main aata hai ke taweez bana lein tum ko
Roz sanwaryen tumhein, barhta dekhen phir tumhein
Kyun na aangan mein chanbeli sa laga lein tum ko
Aapki Shayari
Baalo mein koi phool chuna karta hai
Thar ke guldaan mein phoolon sa saja lein tum ko
Kya ajab khwahish uthti hai hamare dil mein
Kar ke mana sa hawaon mein uchaal lein tum ko
Is qadar toot ke tum par humein pyaar aata hai
Apni baanhon mein bharen maar hi daalein tum ko
Kabhi khwabon ki tarah aankh ke parde mein hi raho
Kabhi khwahish ki tarah dil mein hi bula lein tum ko
Hai tumhare liye kuch aisi aqeedat dil mein
Apne haathon mein duaaon mein utha lein tum ko
Jaan dene ki ijaazat bhi nahi dete ho
Warna mar jaayein abhi mar ke mana lein tum ko
Jis tarah raat ke seene mein hai mahtaab ka noor
Apne tareek makanon mein saja lein tum ko
Ab to bas ek hi khwahish hai kisi mod pe
Tum hum ko bikhre hue mil jaao sambhalen tum ko
Tere gale mein jo baanhon ko daal rakhte hain
Tujhe manane ka kya kamaal rakhte hain
Aapki Shayari
Tujhe khabar hai tujhe sochne ki khaatir
Hum ke bohot se kaam muqaddar pe taal rakhte hain
Koi bhi faisla hum soch kar nahi karte
Tumhare naam ka sikka uchal rakhte hain
Tumhare baad yeh aadat si ho gayi apni
Bikharte sookhte patte sambhaal rakhte hain
Khushi si milti hai khud ko aziyaten de kar
So jaan boojh ke dil ko nidhaal rakhte hain
Wasi Shah Sad Poetry
Kabhi kabhi woh mujhe hans ke dekh lete hain
Kabhi kabhi mera be had khayaal rakhte hain
Tumhare hijr mein yeh haal ho gaya apna
Kisi ka khat ho usay sambhaal rakhte hain
Khushi mile to tere baad khush nahi hote
Hum apni aankh mein har dam malaal rakhte hain
Zamane bhar se bacha kar woh apne aanchal mein
Mere wujood ke tumade sambhaal rakhte hain
Kuch is liye bhi to be-haal ho gaye hum log
Tumhari yaad ka be had khayaal rakhte hain
Meri aankhon mein aansu pighalta raha, chaand jalta raha
Teri yaadon ka sooraj nikalta raha, chaand jalta raha
Aapki Shayari
Koi bistar pe shabnam letay hue khwab dekha
Kya koi yaadon mein karwat badalta raha, chaand jalta raha
Meri aankhon mein campus ki sab sa’atein jagti hain
Abhi nehar par tu mere saath chalta raha, chaand jalta raha
Main to yeh jaanta hoon ke jis shab mujhe chhod kar tum gaye
Aasmanon se shola nikalta raha, chaand jalta raha
Raat aayi to kya kya tamashay hue tujh ko maaloom hai
Teri yaadon ka sooraj ubalta raha, chaand jalta raha
Raat bhar meri palkon ki dehleez par khwab girte rahe
Raat bhar meri par jaate rahe.
Dil tadapta raha, haath malta raha, chaand jalta raha
December ke jis ki kadi dhoop bhi meethi lagne lage
Tum nahi to December sulagta raha, chaand jalta raha
Aaj bhi woh taqaddus bhari raat mehki hui hai wasi
Main kisi mein koi mujh mein dhalta raha, chaand jalta raha
Naazuk the is qadar ke kal tar se mar mujhe
Hum tehmaton ke ek hi patthar se mar gaye
Maloom kar raha tha zamana jawaaz marg
Apnon ne keh diya ke muqaddar se mar gaye
Tum kis qadar zulm dhaya karte ho
Yeh jo tum bhool jaya karte ho
Kis ka ab haath rakh ke seene par
Dil ki dhadkan sunaya karte ho
Hum jahan chai peene jaate the
Kya wahan ab bhi aaya karte ho
Kaun hai ab ke jis ke chehre par
Apni palkon ka saaya karte ho
Kyun mere dil mein rakh nahi dete
Kis liye gham uthaya karte ho
Phone par geet jo sunaya karte the
Kisi ko jawab sunaya karte the
Ab woh kis ko sunaya karte ho
Aakhri khat mein us ne likha tha
Tum mujhe yaad aaya karte ho

Wasi Shah Biography