Roothay hue ko ghar se bulane nahi gayi
Ji chahta tha phir bhi manane nahi gayi
Kis simt ki hawa thi kidhar par rahe the peech
Chhat par bhi patang urane nahi gayi
Duniya yeh keh rahi thi woh tujh ko bulaaye ga
Roti magar kisi ko batane nahi gayi
Jo kuch mere khilaf tha barish ne dho diya
Deewar ko main aap mitane nahi gayi
Is sheher ne bhi mujh ko faramosh kar diya
Main bhi kisi ko yaad dilane nahi gayi
Ham-dard ban ke mujh ko bulaata raha woh shakhs
Lekin main us ko haal sunane nahi gayi
Aapki Shayari
Jo baat hogi nahi woh use achha le ga
Main jaanti hoon mujhe masla bana le ga
Main dil ke paas kisi ko phatakne deti nahi
Ke dil mein ghus ke koi tera gham chura le ga
Nahi kahega mere munh pe sach woh ziddi shakhs
Mujhe bachate hue khud ko maar daale ga
Isi umeed pe main us ko chhod aayi hoon
Ke mere baad kahin aur dil laga le ga
Woh meri jaan ka dushman sahi badan ka nahi
Woh mujh ko maar ke tezaab mein na daale ga
Woh mere paas nahi phir bhi aisa lagta hai
Woh uth ke choome ga mujh ko gale laga le ga
Agar na mauqa diya main ne bolne ka use
Woh apna gussa kisi aur par nikaale ga
Mujhe to lagta nahi phir bhi log kehte hain
Mujhe ajaad ke woh apna ghar basa le ga
Wohi mareez mere baad jee raha hai Qamar
Jo lag raha tha ke do din nahi nikaale ga
Woh mujh se poochh raha tha batao kaisa laga
Tum agle zakhm ko chhodo yeh ghaav kaisa laga
Rehana Qamar Shayari
Khirkiyaan mat baja, main nahi bolti
Ja o jhooti hawa, main nahi bolti
Chhod de meri dehleez ko chhod diye
Se keh jo diya, main nahi bolti tujh
Kati karni pari umr bhar ke liye
Us se kehna pada, main nahi bolti
Mujh se ab meethe lehje mein baatein na kar
Mera dil bujh chuka, main nahi bolti
Mujh ko maloom hai jitni achi hoon main
Ab na baatein bana, main nahi bolti
Ab kisi paal mein main nahi aaongi
Chahe kasmein utha, main nahi hoti
Yeh jo ek mor sa mere aangan mein hai
Bani jab nahi bolta, main nahi hoti
Mere paaon se dharti khisakne lagi
Jab bhi maa ne kaha, main nahi bolti
Pehle us ke liye sab se ladti phiri
Phir us se keh diya, main nahi bolti
Ab safai ka moqa na doon gi use
Jo hua so hua, main nahi bolti
Meri chup ko bhi saazish samajhta hai woh
Ae Qamar ke Khuda, main nahi bolti
Rehana Qamar latest Poetry
Dil aap tere pyaar se baaz aaye to achha
Lekin use duniya nahi samjhaye to achha
Main aap teri jaan nahi chhodne wali
Tu aap kisi aur ka ho jaye to achha
Jab main na rahi aap bhi zinda na rahoge
Yeh chaand koi der na gahnaaye to achha
Is wastay main uski burai pe hoon khamosh
Woh shakhs kisi ko na pasand aaye to achha
Har chand mujhe uski zaroorat to nahi hai
Phir bhi woh Qamar laut ke aa jaye to achha
Dil mein ya ghar mein thikana hai abhi kuchh tay nahi
Maine rehna hai ke jaana hai abhi kuchh tay nahi
Us ko apna to banane ka tahaiya kar liya
Kis tarah apna banana hai abhi kuchh tay nahi
Tum bhi mere muntazir ho sa ye deewar bhi
Maine kis ke saath jaana hai abhi kuchh tay nahi
Aapki Shayari
Zindagi ki highway ka kyun ghalat exit liya
Ab kahan se mud ke aata hai abhi kuchh tay nahi
Yeh baja dono ne ek dooje se wada kar liya
Shams ne wade ko nibhana hai abhi kuchh tay nahi
Kab talak main keh nahi paoongi apna dukh Qamar
Kab talak yeh dukh chhupana hai abhi kuchh tay nahi
Rehana Qamar Biography