Mohsin Naqvi latest Poetry in Urdu 2024

Mohsin Naqvi latest Poetry 

Sang rize adaawaton ke, woh aabgine sakhaawaton ke
Dil musafir qabool kar le, mila hai jo kuch jahaan jahaan se.

Woh ajnabi ajnabi se chehre, woh khwab khemey rawaan dwan se
Base huye hain abhi nazar mein sabhi manazir dhuwan dhuwan se.

Yeh aks daagh shikast piyan, woh rang zaghm khuloos yaraan mein
Gham gusaaaron mein sochta hoon ke baat chhedoon kahaan kahaan se.

Bichharnay wale bichhad chala tha toh nisbatain bhi ganwa ke jaata
Jaata tere liye sheher mein ab bhi main zakhm khao zubaan zubaan se.

latest Poetry

Meri mohabbat ke waahmon se paray tha tera wajood
Warna jahaan jahaan tera aks tehra main ho ke aaya wahaan wahaan se.

Tu hum nafas hai kaise khabar hai ke hai na hum safar hai ke tu kidhar hai
Main dastaken de ke poochh baitha aain mein se maka makaan se.

Apni mohabbat ka ahem azam hoon par rehne de jaan
Sehn abhi hai chahat nai nai si, abhi hain jazbe jawaan jawaan se.

Bichhray huay yaaron ki sada kyun nahin aati,
Ab kar ab rozen-e-zindan se hawa kyun nahin aati.

Best Poetry in Urdu

Tu ab bhi salamat hai safar mein tu musafir,
Tere liye honton par dua kyun nahin aati.

Pathar ho toh kyun khauf-e-shab-e-gham se ho larzaan,
Insaan ho toh jeene ki ada kyun nahin aati.

Ek ped ke saaye se hawa poochh rahi hai,
Saath se rahi hai ab dasht mein makhlooq-e-Khuda kyun nahin aati.

Ae mausam khushboo ki tarah roothne wale,
Paighaam tera le ke saba kyun nahin aati.

Chehron pe woh ki dhanak kya hui yaro,
Khushboo-e-hina kyun nahin aati sarson haathon se woh khud.

Aapki Shayari

Basti ke sabhi log salamat hain toh Mohsin,
Aawaaz koi apne siwa kyun nahin aati.

Koi nai chot phir se khao udaas logo!
Kaha tha kis ne ke muskurawo udaas logo!

Guzar rahi hain gali se phir maatami hawaen
Kiwad kholo, diye bujhao udaas logo!

Jo raat maqtal mein baal kholay utar rahi thi
Woh raat kaisi rahi, sunao udaas logo!

Kahan talak bam dar charaghan kiye rakho ge
Bichhrne walon ko bhool jao udaas logo!

Jangal, dari fizaa, hanpti hawaen
Yahin kahin bastiyan basao udaas logo!

Yeh kis ne sabhi hui fizaa mein humein pukara
Kis ne awaaz di ke aao udaas logo!

Yeh jaan ganwane ki rut yoonhi raigaan na jaye
Sabar sanam koi sar sajao udaas logo!

Usi ki baaton se hi tabiyat sambhal sakegi
Kahin se Mohsin ko dhoond lao udaas logo!

Mohsin Naqvi latest Poetry

Yahi nahin ke humein tod kar gaya hai koi,
usay bhi khud ko bohot dair jorna hoga.

Yeh kis ne hum se lahu ka kharaj phir manga,
Abhi toh soye the maqtal ko surkhro kar ke.

Hajoom mein tha woh khul kar na ro saka hoga
Magar yaqeen hai ke shab bhar na so saka hoga.

Woh shakhs jisko samajhne mein mujh ko umr lagi
Bichhad ke mujh se kisi ka na ho saka hoga.

Larazte haath, shikasta si dor saanson ki
Woh khushk phool kahaan tak pro saka hoga.

Bohot ujar the paataal uski aankhon ke
Woh aansuon se na daaman bhigo saka hoga.

Mere liye woh qabile ko chhod kar aata
Mujhe yaqeen hai yeh us se na ho saka hoga.
Mohsin Naqvi Biography






Leave a Comment