Ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhare baad hua
Is dil ki jheel si aankhon mein ik khwab bohot barbaad hua
Yeh hijr hawa bhi dushman hai is naam ke saare rangon ki
Woh naam jo mere honton par khushboo ki tarah aabaad hua
Noshi Gilani Shayari
Is shehar mein kitne chehre the, kuch yaad nahin sab bhool gaye
Ik shakhs kitaabon jaisa tha woh shakhs zabani yaad hua
Woh apne gaaon ki galiyan thin dil jin mein naachta gaata tha
Ab us se farq nahin padta na shaad hua ya shaad hua
Be-naam sata'ish rehti thi un gehri saanwli aankhon mein
Aisa toh kabhi socha bhi na tha dil ab jitna be-daad hua
Noshi Gilani Poetry
Dil ki manzil us taraf hai ghar ka rasta us taraf
Ek chehra us taraf hai ek chehra us taraf
Roshni ke istarey us kinare reh gaye
Ab toh shab mein koi jugnu hai na tara us taraf
Tum tum hua in khidkiyon se sirf itna dekhna
Usne koi khat kisi ke naam likha us taraf
Yeh mohabbat bhi ajab taqseem ke mausam mein hai
Saara jazba us taraf hai sirf lehja us taraf
Maan ne koi khauf aisa rakh diya dil mein mere
Sach kabhi main bol hi paayi na poora us taraf
Aapki Shayari
Ek halki si chan ahsaas ko ghere rahi
Guftagu mein jab tumhara zikar aaya us taraf
Sirf aankhein kaanch ki baqi badan patthar ka hai
Ladkiyon ne kis tarah ka roop dhara us taraf
Ae hawa ae mere dil ke shehar se aati hawa
Tujh ko kya paighaam de kar usne bheja us taraf
Kis tarah ke log hain yeh kuch pata chalta nahin
Kaun kitna us taraf hai kaun kitna us taraf
Noshi Gilani Biography