Hisaab umar ka itna sa goshwara hai
Tumhein nikaal ke dekha to sab khasara hai
Kisi charagh mein hum hain kisi kanwal mein tum
Kahin jamaal humara kahin tumhara hai
Woh kya visaal ka lamha tha jis ke nashe mein
Tamaam umr ki furqat humein gawara hai
Har ek sada jo humein baazgasht lagti hai
Najane hum hain dobaara ke yeh dobaara hai
Woh munkashif meri aankhon mein ho ke jalwe mein
Har ek husn kisi husn ka ishaara hai
Aapki Shayari
Ajab usool hain is kaarobar duniya ke
Kisi ka qarz kisi aur ne utaara hai
Kahin pe hai koi khushboo ke jis ke hone ka
Aalam mojood istaara hai
Najane kab tha, kahan tha magar yeh lagta hai
Yeh waqt pehle bhi hum ne kabhi guzara hai
Do kinaare to darya ke ho gaye, hum tum
Magar woh kaun hai jo teesra kinara hai
Amjad Islam Amjad Poetry
Koi imkaan wapsi ka nahin ghar se nikle hain aansuoon ki tarah
Woh duaayein qubool karta hai is liye soch kar dua kijiye
Kisi ki dhun mein kisi ke gumaan mein rehte hain
Hum ek khwab ki surat jahaan mein rehte hain
Humare ashk chamakte hain uski aankhon mein
Zameen ka rizq hain aur aasmaan mein rehte hain
Jo log karte hain duniya se sood ki khwahish
Hamesha gardish-e-daur ziyaan mein rehte hain
Nazar ke saamne aap rawaan ke hote hue
Jo ahl-e-sabr hain, tashna labaan mein rehte hain
Amjad Islam Amjad Shayari
Har ek bhanwar se zyada tabahkaar hain
Yeh jo chand khauf phatte badbaan mein rehte hain
Inhi ke dum se hai jaari yeh roshni ka safar
Jo dil chiragh ki surat jahaan mein rehte hain
Yeh ahl-e-dard hain inka chalan hai sab se alag
Makaan rakhte hain aur la-makaan mein rehte hain
Yeh jaan kar bhi ke atam hai bhar bhari mitti
Yeh log khwahish-e-naam o nishaan mein rehte hain
Kisi saraab ki surat kisi gumaan ki tarah
Hum apne hast ki reg-e-rawaan mein rehte hain
Khaak se ka chaak hai aur khaak hai hawadis ki
Zameen zaad, sada imtihaan mein rehte hain
Amjad Islam Amjad latest Poetry
Dil ke kehne par jab lade tum the
Ke phir zamane se kyun dare tum the
Naqsh the haath ki lakeeron mein
Dastaras ke har pare ho tum the magar
Laakh phela himmat na paaye tum
Dil ki auqaat se bade tum the
Hum ne jis rah ka intikhab kiya
Us ke har mod par khade tum the
Ek sharaar-e-gumaan ki maanind!
Dhyan ki raakh mein pare tum the
Amjad Islam Amjad Poetry
Jaane kis lehar mein tha main sarshaar
Jaane kis mauj mein hare tum the
Kalaam karti nahin bolti bhi jaati hai
Teri nazar ko yeh kaisi zubaan aati hai
Kabhi kabhi mujhe pehchanti nahin
Woh aankh kabhi chiraagh se chaaron taraf jalati hai
Ajab tazad mein palti hai tere wasl ki aas
Ke ek aag bujhati hai ek lagati hai
Woh dekhti hai mujhe aisi mast nazron se
Mere lahoo mein koi aag sarsarati hai
Yeh koi aur nahin aag hai yeh andar ki
Badan ki raat mein jo roshni bichaati hai
Main usko dekhta rehta hoon raat dhalne tak
Chalne tak jo chaandni teri galiyon se ho ke aati hai
Yeh roshni bhi ata hai teri mohabbat ki
Jo meri rooh ke manzar mujhe dikhaati hai
Aapki shayari
Umeed-e-wasl bhi Amjad hai kaanch ki choori
Ke pehne mein kai baar toot jaati hai
Phir se kisi wujood mein laya na ja sake
Itna bikhar ke tujh ko banaya na ja sake
Us ne poocha janaab kaise ho
Us khushi ka hisaab kaise ho
Amjad Islam Amjad Biography