Love Poetry
Tere Gham Ko Jaan Ki Talaash Thi
Tere gham ko jaan ki talaash thi
Tere jaan nisaar chale gaye
Teri raah mein karte the sar talab
Sar-e-raahguzar chale gaye
Teri kaj adaai se haar ke
Shab-e-intezaar chali gayi
Mere zabt-e-haal se rooth kar
Mere ghamgusaar chale gaye
Na sawaal-e-wasl, na arz-e-gham
Na hikayatein na shikayatein
Tere ahd mein dil-e-zar ke
Kabhi ikhtiyaar chale gaye
Yeh humein the jin ke libaas par
Sar-e-rah siyaahi likhi gayi
Yahi daagh the jo saja ke hum
Sar-e-bazm-e-yaar chale gaye
Na raha junoon-e-rukh-e-wafa
Yeh rasan yeh daar karoge kya
Jinhein jurm-e-ishq pe naaz tha
Woh gunaahgaar chale gaye
Gulon Mein Rang Bhare Baad-e-Nau Bahaar Chale
Gulon mein rang bhare baad-e-nau bahaar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale
Qafas udaas hai yaaro saba se kuch to kaho
Kahin to beher-e-Khuda aaj zikr-e-yaar chale
Faiz Ahmed Faiz Love Poetry
Bara hai dard ka rishta, yeh dil gareeb sahi
Tumhare naam pe aayenge ghamgusaar chale
Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijran
Humare ashk tere aafiyat sanwaar chale
Huzoor-e-yaar hui daftar-e-junoon ki talab
Girhein leke garebaan ka taar taar chale
Maqaam-e-Faiz, koi raah mein jacha hi nahi
Jo koocha-e-yaar se nikle to sooye-daar chale
Faiz Ahmed Faiz Love Poetry
Dono Jahan Teri Mohabbat Mein Haar Ke
Dono jahan teri mohabbat mein haar ke
Woh ja raha hai koi shab-e-gham guzaar ke
Weeraan hai maikada, kham-o-saagar udaas hain
Tum kya gaye ke rooth gaye din bahaar ke
Faiz Ahmed Faiz Love Poetry
Ek fursat-e-gunaah mili, woh bhi chaar din
Dekhe hain humne hausle parwardigaar ke
Duniya ne teri yaad se begaana kar diya
Tujh se bhi dilfareb hain gham rozgaar ke
Bhoole se muskura to diye the woh aaj Faiz
Mat poochh walwale dil-e-naakarda-kaar ke
Faiz Ahmad Faiz Biography